Toti hey meri neend magar tum ko is sey kiya
Bajtey rahey hawaon sey dar magar tum ko is sey kiya
Tum mauj mauj masl-e saba ghoomtey raho
Kut jain teri sooch key per tum ko is sey kiya
Oroon ka hath thamo inhain raasta dikhao
Main bhool jaoon apna hi ghar tum ko is sey kiya
Abr-e gurez pa ko barasney sey kiya gharz
Seepi main ban na pae guhar tum ko is sey kiya
Parveen Shakir
from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam https://ift.tt/2jdFCeR