Tuesday, 10 April 2018

Khizaan ki rut main gulaab lehja bana ke rakhna kamaal yeh hai..

,

Khizaan ki rut main gulaab lehja bana ke rakhna kamaal yeh hai,
Hawa ki zad main diya jalana, jala ke rakhna kamaal yeh hai,

Zara si larzish pe toRr dete hain sab talluq zamane wale,
So aese weson se bhi talluq, bana ke rakhna kamaal yeh hai,

Kisi ko dena yeh mashwra ke, woh dukh bichaRrne ka bhool jaye,
Aur aese lamhe main apne aansuu chupa ke rakhna kamaal yeh hai,

Khayal apna, mizaj apna, pasand apni, kamaal kya hai,
Jo yaar chahe woh haal apna bana ke rakhna kamaal yeh hai,

Kisi ki raah se khuda ki khatir, utha ke kante, hatta ke pathar,
Phir us ke aage nigaah apni jhuka ke rakhna kamaal yeh hai,

Woh jis ko dekhe to dukh ka lashkar bhi laRrkhaRraye, shikast khaye,
Labon pe apne woh muskurahat, sajaa ke rakhna kamaal yeh hai,

Hazaar taaqat ho, sau daleelen hon, phir bhi lehje main aajzi se,
Addab ki lazzat, dua ki khushbu, basaa ke rakhna kamaal yeh hai..

The post Khizaan ki rut main gulaab lehja bana ke rakhna kamaal yeh hai.. appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/2EBjy6a

0 comments to “Khizaan ki rut main gulaab lehja bana ke rakhna kamaal yeh hai..”

Post a Comment

 

usa blog Copyright © 2011 | Template design by O Pregador | Powered by Blogger Templates