Jo uss ke saamne mera ye haal aa jaye,
toh dukh se aur bhi uss par jamaal aa jaye.
Mera khyal hai ghunghroo pehan ke naachega,
agar khyal ko tera khyal aa jaye.
Har ek shaam naye khwaab uss par garhenge,
humare haath agar teri shaal aa jaye.
Inhi dino woh mere saath chaai peeta tha,
kahin se kaash mera pichhla saal aa jaye.
Mein apne ghum ke khazaane kahan chhupaaunga,
agar kahin se koi aur maal aa jaye.
Har ek baar naye dhang se sajaayen tujhe,
humhare haath jo phoolon ki daal lag jaye.
Ye doobta hua sooraj thehar na jaye ‘wasi
agar woh saamne waqat-e zawaal aa jaye. !!
Wasi Shah
from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam https://ift.tt/2KmBBkE