Thursday, 5 April 2018

Mujhe aesa lutf ataa kiya ke jo hijar tha na visaal tha..

,

Mujhe aesa lutf ataa kiya ke jo hijr tha na visaal tha,
Mere mausamon ke mizaj-daan, tujhe mera kitna khayaal tha,

Kisi aur chehre ko dekh kar teri shakal zehn main aa gayi,
Tera naam le ke mila usse, mere hafize ka yeh haal tha,

Kabhi mausamon ke saraab main, kabhi baam-o-dar ke azaab main,
Wahan umar hum ne guzar di, jahan saans lena muhaal tha,

Kabhi tu ne ghaur kiya nahin, ke yeh log kaise log thay,
Koi meer jesa giraftadil, tere samne ki misaal tha,

Tere baad koi mila nahin, jo yeh haal dekh ke puchta,
Mujhe kis ki aag jhulsa gayi, mere dil ko kis ka malaal tha,

Kahin khun-e-dil se likha to tha, tere saal-e-hijar ka saneha,
Woh adhuri diary kho gayi, woh najane kaun sa saal tha..

The post Mujhe aesa lutf ataa kiya ke jo hijar tha na visaal tha.. appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/2q7QYnG

0 comments to “Mujhe aesa lutf ataa kiya ke jo hijar tha na visaal tha..”

Post a Comment

 

usa blog Copyright © 2011 | Template design by O Pregador | Powered by Blogger Templates