Tuesday, 10 April 2018

Jab Raat Ki Nagin Dasti Hai

,
Jab Raat Ki Nagin Dasti Hai
Nus Nus Mein Zehar Utarta Hai

Jab Chand Ki Kirnein Tezi Se
Uss Dil Ko Cheer Ke Ati Hain

Jab Ankh Ke Andar Hi Ansoo
Zanjeron Mein Bandh Jate Hain

Sab Jazbon Pe Cha Jate Hain
Tab Yaad Bohat Tum Aate Ho

Jab Dard Ki Jhan-Jar Bajti Hai
Jab Raqs Ghamon Ka Hota Hai

Khawabon Ki Taal Pe Sare Dukh
Wehshat Ke Saaz Bajate Hain

Gate Hain Khawahish Ki Ley Me
Masti Me Jhomte Jate Hain

Sab Jazbon Par Cha Jate Hain
Tab Yaad Bohat Tum Ate Ho

Poet: Wasi Shah



from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam https://ift.tt/2JwVh4N

0 comments to “Jab Raat Ki Nagin Dasti Hai”

Post a Comment

 

usa blog Copyright © 2011 | Template design by O Pregador | Powered by Blogger Templates