Sunday, 11 April 2021

gira pathar uThana paRr raha hai

,

gira pathar uTthana paRr raha hai
talluq hai nibhaana paRr raha hai

aziyat hai yeh sanjeeda mizaaj-i
humen khud ko hansaana paRr raha hai

hum us ke paas hain saare ke saare
usse yeh bhi batana paRr raha hai

The post gira pathar uThana paRr raha hai appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/3mCe3M2

main neem shab main sitaron ko dekhta hi nahin

,

main neem shab main sitaron ko dekhta hi nahin
sau ishq jaisa mujhe koi masla hi nahin

woh shakhss jis se mujhe bepanah mohabbat hai
kabhi libas-e-bashar main mujhe mila hi nahin

bas aik baar usse muskurate dekha tha
koi nazara nigahon ko phir jacha hi nahin

ajeeb tarz ki mehroom-iyon se guzre hum
jo zindagi tha wohi zindagi main tha hi nahin

woh ankh jo uthi nahin kabhi hum par
woh aik teer jo hum par kabhi chala hi nahin

bas aik soz-e-daroon tha jo jalta bujhta raha
charagh-e-ashq sar-e-taak-e-chashm tha hi nahin

The post main neem shab main sitaron ko dekhta hi nahin appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/3g9ND2W

khud apne sath usse dekhna museebat hai

,

khud apne sath usse dekhna museebat hai
juda woh mujh se rahe, yeh juda museebat hai

bohat se qareeb se dekha hai ishq koi maine
bata raha hoon tujhe dostaa museebat hai

yeh habs-e-zaat yeh saye yeh dagmagati lau
meri namoon ko yeh aab-o-hawaa museebat hai

kiye huye to ho sar par sawaar us ko barar
tumhi kaho ge ik din yeh kya museebat hai

The post khud apne sath usse dekhna museebat hai appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/3mFsyi4

tere khawbon main mohabbat ki duhaayi doon ga

,

tere khawbon main mohabbat ki duhaayi doon ga
jab koi aur na ho ga to dikhayi doon ga

meri duniya main faqat aik khuda kaafi hai
dosto kitne khudaon ko khudayi doon ga

koi insan nazar aye to bulao us ko
use is daur main jeene pe badhaayi doon ga

dekh loon apne girebaaan hi main mu daal ke main
apne halaat pe kis kis ki buraayi doon ga

tum agar choRr gaye mujh ko to yun taRrpoon ga
sari duniya ko gham o dard judayi doon ga

teri hi rooh ka naghma hoon agar miTt bhi gaya
main tujhe dusri duniya se sunayi doon ga

The post tere khawbon main mohabbat ki duhaayi doon ga appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/2PVRGoT

zindagi ne libaas cheen liya

,

zindagi ne libaas cheen liya
maut ne kam se kam kafan to diya

zindagi darbadar phiraati rahi
maut ne mustaqil watan to diya

The post zindagi ne libaas cheen liya appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/2QhsDN6

main us hawa ke jhonke ko kya naam doon kiran

,

main us hawaa ke jhonke ko kya naam doon kiran
dastak diye baghair mere ghar main aa gaya

The post main us hawa ke jhonke ko kya naam doon kiran appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/3uMRR4V

paiRr jo ba-samar nahin hota

,

paiRr jo ba-samar nahin hota
woh kabhi moatbar nahin hota

dil se jab tak nahin nikalti hai
baat main kuch asar nahin hota

mujh ko manzil kabhi nahin milti
tu agar humsafar nahin hota

aik dar se jo lau lagata hai
woh kabhi darbadar nahin hota

zakham sab ko bhala dikhayen kyun
har koi charagar nahin hota

main kiran bas khuda se Ddarti hoon
mujh ko logon ka Ddar nahin hota

The post paiRr jo ba-samar nahin hota appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/3d8XxQL

tujh se door hona chahti hoon

,

tujh se door hona chahti hoon
chain ki neend sona chahti hoon

The post tujh se door hona chahti hoon appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/3dXGJLs

raat bhar intezar karti rahi

,

raat bhar intezar karti rahi
main sitare shumaar karti rahi

yaad ati rahi, teri har pal
aur mujhe beqaraar karti rahi

main woh laRrki hoon jo mohabbat par
sare jazbe nisaar karti rahi

us ne dhoke diye mujhe har baar
aur main aitbaar karti rahi

dil ke behlane ko khizaan rut main
zikr -e- fasl -e- bahaar karti rahi

jis ko ana tha woh aa chuka kiran
khud ko main yunhi khuwaar karti rahi

The post raat bhar intezar karti rahi appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/3wJBg3E

Saturday, 10 April 2021

bas aaj waqt par sone ki chaah hai mujh ko

,

bas aaj waqt par sone ki chaah hai mujh ko
dua karo ke khauf thakan se zeyada ho

The post bas aaj waqt par sone ki chaah hai mujh ko appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/3dXwqr7

har ik baat pe kehne lagte ho pyare baRra masla hai

,

har ik baat pe kehne lagte ho pyare baRra masla hai
suno manzil-en khubsurat hain bas rasta masla hai

kaha jab mera masla hai ke ap ache lagne lage hain
woh kehne lage ap ka masla ap ka masla hai

mohabbat mukamal na hona baRra masla hai yaqeenan
ghazal ka mukamal na hona bhi apni jagah masla hai

main har roz laRr kar nikalta hoon wapis na aney ki khatir
magar us ka khiRrki se rote huye dekhna masla hai

sabhi masle hal talab hain magar bhook pehle hai ahsan
mohabbat to insan ka apna banaya hua masla hai

The post har ik baat pe kehne lagte ho pyare baRra masla hai appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/2PJuCKd

ayat sunao sabr ki koi quran se

,

ayat sunao sabr ki koi quran se
warna ulajh paRroon ga main sare jahan se

woh bhi safar main thak ke kahin door reh gaya
aur main bhi cheekhne laga ik din thakaan se

woh shaam aj tak mere seene pe naqsh hai
ik shakhss phir gaya tha jab apni zaban se

The post ayat sunao sabr ki koi quran se appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/2Qb9exa

hamari ik ankahi kahani udaas ankhon main reh gayi hai

,

hamari ik ankahi kahani udaas ankhon main reh gayi hai
bhari jawani ki raigaan-i udaas ankhon main reh gayi hai

bichaRr-ne wale ka aansu ab tak hamari ankhon se beh rahe hain
bichaRr-ne wale ki ik nishaani udaas ankhon main reh gayi hai

agar tumhe aj bhi koi gham mile to rona mujhe paRre ga
tumhari kashti ki baadbaani udaas ankhon main reh gayi hai

jo shahzade ke khawb bunti safar main mujh se bichaRr gayi thi
baRre mahalaat ki woh raani udaas ankhon main reh gayi hai

The post hamari ik ankahi kahani udaas ankhon main reh gayi hai appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/2RlWDI1

har dukh mujhe qabool magar yeh sitam na ho

,

har dukh mujhe qabool magar yeh sitam na ho
ya rab bichaRr-te waqt bhi woh aankh num na ho

yeh kya ke saari raat kaTe jagte huye
aur phir bas aik sher ho us main bhi dum na ho

yeh kya ke aik dar se bandhe hon tamaam umar
yeh kya ke aik baar bhi nazar -e- karam na ho

yah kya ke sab se daad ke talib ho shayaro
yaani ke woh bhi roye ke jise koi gham na ho

ae kash ke apni jang chiRre us badan ke sath
aur dono samt aman ka koi alam na ho

sansain ukhaRr ukhaRr kar chalen par chalen zaroor
hum main agar judai ho to kabhi aik dum na ho

The post har dukh mujhe qabool magar yeh sitam na ho appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/3a0SakJ

puchte hain ke mohabbat ka bhi khamyaaza hai

,

puchte hain ke mohabbat ka bhi khamyaaza hai
mujh se miliye ke mera zakham abhi taaza hai

mere hone ki aziyat ko bhi main janta hoon
is liye teri aziyat ka bhi andaaza hai

The post puchte hain ke mohabbat ka bhi khamyaaza hai appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/2Qiu1z6

zulf lehrayi hai kahin us ki

,

zulf lehrayi hai kahin us ki
yeh jo kaali ghaTta si lagti hai

The post zulf lehrayi hai kahin us ki appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/3mD64yA

woh mere ghar jhagaRrne aya tha

,

woh mere ghar jhagaRrne aya tha
khoob nikli hai pyar ki surat

The post woh mere ghar jhagaRrne aya tha appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/2Q9GDIA

Friday, 9 April 2021

zindagi ne jawaaz manga tha

,

zindagi ne jawaaz manga tha
sau tere gham se dosti kar li

The post zindagi ne jawaaz manga tha appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/3d3Q2dG

Thursday, 8 April 2021

agarche main ik chaTaan sa admi raha hoon

,

agarche main ik chaTaan sa admi raha hoon
magar tere baad hausla hai ke jee raha hoon

woh raiza raiza mere badan main utar raha hoon
main qatra qatra usi ki ankhon ko pee raha hoon

teri hatheli pe kis ne likha hai qatal mera
mujhe to lagta hai main tera dost bhi raha hoon

khuli hain ankhen magar badan hai tamaam pathar
koi bataye main mar chuka hoon ke jee raha hoon

kahan mile gi misaal meri sitamgari ki
ke main gulab-on ke zakham kanTon se see raha hoon

na puch mujh se ke sheher walon ka haal kya tha
ke main to khud apne ghar main bhi do ghaRi raha hoon

mila to beete dinon ka sach us ki ankhon main tha
woh ashnaa jis se muddaton ajnabi raha hoon

bhula de mujh ko ke bewafayi bajaa hai lekin
ganwaa na mujh ko ke main teri zindagi raha hoon

woh ajnabi ban ke bhi ab mile to kya hai mohsin
yeh naaz kam hai ke main bhi us ka kabhi raha hoon

The post agarche main ik chaTaan sa admi raha hoon appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/3dKgnMZ

aik jaadu mujhe ata hai, khabar hai tujh ko ?

,

aik jaadu mujhe ata hai, khabar hai tujh ko ?
hans ke beemar ko dekhoon, usse acha kar doon

The post aik jaadu mujhe ata hai, khabar hai tujh ko ? appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/3uAf9uB

ap agar aa ke mujh se mil jayen

,

ap agar aa ke mujh se mil jayen
zakham jitne hain aaj sil jayen

The post ap agar aa ke mujh se mil jayen appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/321xbcM

abhi to zinda hain kehte ho yara kya hoga

,

abhi to zinda hain kehte ho yara kya hoga
hamare baad najane tumhara kya hoga

hamara khud pe guzara nahin hai muddat se
hamare sath kisi ka guzara kya hoga

yeh dekhne ke liye kyun na aik din mar jayen
hamare sath usi din dobara kya hoga

woh jis ke nisf ne pagal kiya hai duniya ko
main sochta hoon haqeeqat main sara kya hoga

hamare naqsh -e- qadam se qadam milao magar
hamara kuch na bana to tumhara kya hoga

zaban lipTi hui hai gale se murde ki
sawal yeh nahin kaise, pukara kya hoga

woh mil ke jaye to lagta nahin mila hai kabhi
agar kinara kare to kinara kya hoga

pehen liya hai usse ankh moond kar maine
wagarna sochta rehta utara kya hoga

na us ko milne main dilchaspi hai na mujh ko magar
hum intezar main hai istikhara kya hoga

jinhe pata tha sabhi kuch woh log bhi na rahe
humen pata hi nahin kuch hamara kya hoga

The post abhi to zinda hain kehte ho yara kya hoga appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/3fQrl6t

dDass gayi muflisi mujhe aa kar

,

dDass gayi muflisi mujhe aa kar
saanp betha raha khazane par

The post dDass gayi muflisi mujhe aa kar appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/3mz26aa

beemar le ke so gaya goli sakoon ki

,

beemar le ke so gaya goli sakoon ki
temaardar dair talak jagta raha

The post beemar le ke so gaya goli sakoon ki appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/3fYwycj

bhool gayi main ishq mohabbat bhool gayi

,

bhool gayi main ishq mohabbat bhool gayi
dil pankhe pe rassi Daali, jhool gayi

The post bhool gayi main ishq mohabbat bhool gayi appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/39UQclC

woh khad-o-haal mere fun ki gawahi dete

,

woh khad-o-haal mere fun ki gawahi dete
main sukhankar na hoti to musawar hoti

The post woh khad-o-haal mere fun ki gawahi dete appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/3cZ11oD

Tuesday, 30 March 2021

tum se ik rasam tak nahin tooti

,

tum se ik rasam tak nahin tooti
baat karte they tum sitaron ki

The post tum se ik rasam tak nahin tooti appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/3rEdLp1

kisi ke honTon pe ayi hansi ko dukh mat do

,

kisi ke honTon pe ayi hansi ko dukh mat do
kisi ka dil mat dukhao kisi ko dukh mat do

khuda ki marzi samajh kar mujhe bhula do bas
zara si baat pe ab zindagi ko dukh mat do

guzar chuka hai yeh kirdar is kahani se
sadaa-en de ke meri khamshi ko dukh mat do

gali gali main tamasha lagaye phirte ho
jadeed sher kaho shayari ko dukh mat do

The post kisi ke honTon pe ayi hansi ko dukh mat do appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/3wezjvW

tumhara hijr manaya to main akela tha

,

tumhara hijr manaya to main akela tha
junoon ne hashr uthaya to main akela tha

koi hussaini na nikla mere rafeeq-on se
dia bhuja ke jalaya to maine akela tha

The post tumhara hijr manaya to main akela tha appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/3fq3A4X

baat darasal woh nahin thi yaar

,

baat darasal woh nahin thi yaar
woh magar kitni dilnasheen thi yaar

mera baTtwa kidhar gaya akhir
meri ainak yahin kahin thi yaar

khawb rakhe they jis jagah maine
neend rakhi hui wahin thi yaar

jab talak baap mera zinda tha
mere qadam-on taley zameen thi yaar

The post baat darasal woh nahin thi yaar appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/3sxHe58

aik kohraam bapaa hai mujhe main

,

aik kohraam bapaa hai mujhe main
jane kya TooT gaya hai mujh main

tum chale aao bina dastak ke
aik darwaza khula hai mujh main

rang -o- khushbu se bhara rehta hoon
tu hai ya phool khila hai mujh main

zindagi tujh ko hai jana jab se
khauf sa beth gaya hai mujh main

main to raazi tha teri bait par
par koi bol paRra hai mujh main

ab wohi thookta rehta hoon main
tum ne jo zeher bhara hai mujh main

dil ke abaad nagar tha bali
ab to veeran paRra hai mujh main

The post aik kohraam bapaa hai mujhe main appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/3m6jdjp

zeher aesa tha kuch zaban-on main

,

zeher aesa tha kuch zabaan-on main
teer hote hain jaise kamaan-on main

maazrat hai jo meri baat-on se
farq aaya ho tere shaanon main

woh mohabbat to uTh gayi kab ki
tazkara reh gaya fasaanon main

khud ko dekhoon, tujhe, ke duniya ko
zindagi baTt gayi hai khaanon main

tu nahin hai magar teri awaz
ab bhi rass gholti hai kaan-on main

ab khuda bhi kisi ko yaad nahin
paRr gaye log kin gumaan-on main

daaj pyara hai un ko dulhan se
yeh riwayat hai kuch gharanon main

sheher veeran ho gaya sara
log ab band hain makaan-on main

waizon ki suno magar bali
ungliyan de ke apne kaan-on main

The post zeher aesa tha kuch zaban-on main appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/39raIdB

har ghaRri karbala si lagti hai

,

har ghaRri karbala si lagti hai
zindagi ab saza si lagti hai

baat us ke lab-on se nikle to
narawaa bhi rawaa si lagti hai

dil kisi tarah manta hi nahin
par mujhe bewafa si lagti hai

zulf lehrayi hai zaroor us ki
yeh jo kaali ghaTta si lagti hai

Aesi qismat mili humen yaar-o
jab bhi dekho khafaa si lagti hai

mujhe ko yeh azn shayari bali
mere rab ki ataa si lagti hai

The post har ghaRri karbala si lagti hai appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/3dnw4JI

aesi kaali jo raat aye gi

,

aesi kaali jo raat aye gi
teri zulfon pe baat aye gi

tere daman main Daal doon ga main
gar khushi mere hath aye gi

mujh ko maloom tha yeh pehle se
mere hisse main maat aye gi

saari behes-en samaiTt doon lekin
darmiyan teri zaat aye gi

kaise chal pao ge kaho bali
har qadam par jo ghaat aye gi

The post aesi kaali jo raat aye gi appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/3dznVlV

ankh jaye ke ankh ka kajal jaye

,

ankh jaye ke ankh ka kajal jaye
khawb ka ik sira pata chal jaye

maine sadqa kiya ghuroor apna
sar se yeh ishq ki balaa Ttal jaye

The post ankh jaye ke ankh ka kajal jaye appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/3dnjdrd

jurm -e- nakarda pe jab suli chaRrhayi gayi

,

jurm -e- nakarda pe jab suli chaRrhayi gayi main
ibn -e- maryam ki tarah zinda uthayi gayi main

lene aye sabhi baRrh chaRrh ke balaa-en meri
ik tamasha saja, dulhan si sajayi gayi main

kabhi tezab chiRak kar mujhe sharmaya gaya
kabhi choolhe ki karamat se jalayi gayi main

bibi zahra ki ridaa aa paRri shanon pe mere
nange sar jab kabhi galiyon main ghumayi gayi main

hashr main ho ga mere hath girebaan tera
ae zamane tere hathon woh satayi gayi main

The post jurm -e- nakarda pe jab suli chaRrhayi gayi appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/3ft38my

ae meer ke dukh ! meri banhon main samaa ja

,

ae meer ke dukh ! meri banhon main samaa ja
ae shokhi -e- ghalib ! lab -o- rukhsar pe chha ja

ae jaun ki masti ! meri ankhon se guzar ja
nasir ki udasi ! meri janib ko safar kar

The post ae meer ke dukh ! meri banhon main samaa ja appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/3dlxXqA

silsila khatam hua jalne jalane wala

,

silsila khatam hua jalne jalane wala
ab koi khawb nahin neend uRrane wala

yeh woh sehraa hai sujhaye na agar tu rasta
khaak ho jaye yahan khaak uRrane wala

kya kare ankh jo pathrane ki khawhish na kare
khawb ho jaye agar khawb dikhane wala

yaad ata hai ke main khud se yahin bichRra tha
yahi rasta hai tere sheher ko jane wala

ae hawa us se yeh kehna ke salamat hai abhi
tere phoolon ko kitabon main chupane wala

zindagi apni andheron main basar karta hai
tere anchal ko sitaron se sajane wala

sabhi apne nazar ate hain bazahir lekin
roothne wala hai koi na manane wala

le gayin door bohat door hawa-en jis ko
wohi badal tha meri pyas bujhane wala

The post silsila khatam hua jalne jalane wala appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/3sBhYv1

thehri thehri si tabiyat main rawani ayi

,

thehri thehri si tabiyat main rawani ayi
aj phir yaad mohabbat ki kahani ayi

aj phir neend ko ankhon se bichaRrte huye dekha
aj phir yaad koi choTt purani ayi

mudatton baad chala un pe hamara jadu
mudatton baad humen baat banani ayi

mudatton baad pasheman hua dariya se
mudatton baad humen pyas chupani ayi

mudatton baad khuli vusat -e- sehraa hum par
mudatton baad humen khaak uRrani ayi

mudatton baad muyassar hua maan ka anchal
mudatton baad humen neend suhani ayi

itni asani se milti nahin fun ki daulat
Dhal gayi umar to ghazlon pe jawani ayi

The post thehri thehri si tabiyat main rawani ayi appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/3fpI93Z

zard chehra hai mera zard bhi aesa wesa

,

zard chehra hai mera zard bhi aesa wesa
hijr ka dard hai aur dard bhi aesa wesa

aesi thanDdak ki jammi barf har ik khawhish par
sard lehja tha koi sard bhi aesa wesa

ab woh fursat -e- ahwaal muyassar hi nahin
woh jo hamdard tha hamdard bhi aesa wesa

yaani us dhool ke chooTtne pe bhi ilzam -e- junoon
koi tufan hai pas -e- gard bhi aesa wesa

puri basti main bas ik shakhss se nisbat mujh ko
mujh se munkir hai woh ik fard bhi aesa wesa

ishq ne rail ki paTtri pe liTtaya jis ko
tha jawan-mard , jawan-mard bhi aesa wesa

kya tujhe hijr ke azaar bataye komal
tu to bedard hai bedard bhi aesa wesa

The post zard chehra hai mera zard bhi aesa wesa appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/3ruITak

main apne sath bitati hoon roz sham ka waqt

,

main apne sath bitati hoon roz sham ka waqt
ke waqt -e- assr hai khud se mere kalaam ka waqt

tamam din jahan chaho raho khuda ke liye
kisi ke naam na karna hamare naam ka waqt

allam baghawat-on ka kar liya buland magar
kaTte ga dekhna zindaan main ghulaam ka waqt

bas us ke baad to bachte hain sirf pachtawe
yahi hai dost raunat ki rok thaam ka waqt

khuda kare ke main kar doon maaf dil se usse
khuda na laye kabhi mujh pe intiqaam ka waqt

hamare rizq ka daromadar hum par hai
ke thora ishq ka rakha hai, baaqi kaam ka waqt

The post main apne sath bitati hoon roz sham ka waqt appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/3weMNYG

woh shakhss ab mere ehbaab main nahin shamil

,

woh shakhss ab mere ehbaab main nahin shamil
meri shikayat-en us shakhss se kare na koi

talluq-aat ko bas is maqam par rakhiye
kisi ko choRrna paRr jaye to mare na koi

The post woh shakhss ab mere ehbaab main nahin shamil appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/3sEx2rB

qissa -e- khoobi -e- kharab pe daad

,

qissa -e- khoobi -e- kharab pe daad
mumtahin, ishq ke nisaab pe daad

phir wohi ik sawal qurbat ka
phir tere jhoot ke jawab pe daad

is bure waqt main bhala sa laga
jagti chashm -e- namm ke khawb pe daad

ishq hai aur behisaab bhi hai ?
yaar, is lafz behisaab pe daad

aap ka intikhab komal hai ?
ap ke husn -e- intikhab pe daad

The post qissa -e- khoobi -e- kharab pe daad appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/3rGzeOc

raat main chain se so nahin paya

,

raat main chain se so nahin paya
chowkidar jo jaag rahe thay

The post raat main chain se so nahin paya appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/3u4N3r9

Yeh hijr lagne laga aarzi judai mujhe

,

yeh hijr lagne laga aarzi judai mujhe
kayi mahinon ke baad us ki call ayi mujhe

hazar zaiqe us rass bhari zaban main thay
jab us ne meri ghazal raat bhar sunayi mujhe

main cigretton ki tarah dair tak sulagta rahoon
jalaye tere labon ki dia-salayi mujhe

usse khabar hui beemar mar gaya hai tera
woh choRr chaRr ke sab dekhne ko ayi mujhe

shifaa naseeb se milte hai sau mile na mile
tumhare hath se milti rahe dawayi mujhe

The post Yeh hijr lagne laga aarzi judai mujhe appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/3m1FTRN

Maine mausam badalte dekha hai

,

maine mausam badalte dekha hai
us ke aangan main aane jaane par

The post Maine mausam badalte dekha hai appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/3dmCybQ

apni deewar main bhi tujh se dareecha na bana

,

apni deewar main bhi tujh se dareecha na bana
is liye to mere dil tak tera rasta na bana

qad main choTte hain magar mujh se bari nafrat hai
paiRr ko kehte hain us ke liye saya na bana

itne to yaar tere hum bhi chalan jante hain
bagh yeh sabz dikha kar humen sehraa na bana

roz mujh se yeh adakari nahin ho sakti
is liye mera jahan bhar main tamasha na bana

zindagi kya hai batana tha kisi ko maine
likhne betha hoon to us par koi jumla na bana

kitni naslain yehi kehte huye mar jayen gi
agle logon se kabhi acha zamana na bana

aayina samne hote huye un se adis
koi chehra na bana koi shanasa na bana

The post apni deewar main bhi tujh se dareecha na bana appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/3mfys9P

Jaise wahan se rasta nikal aye ga abhi

,

jaise wahan se rasta nikal aye ga abhi
main aese dekhta raha deewar ki taraf

The post Jaise wahan se rasta nikal aye ga abhi appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/3fugZJ8
 

usa blog Copyright © 2011 | Template design by O Pregador | Powered by Blogger Templates