har dukh mujhe qabool magar yeh sitam na ho
ya rab bichaRr-te waqt bhi woh aankh num na ho
yeh kya ke saari raat kaTe jagte huye
aur phir bas aik sher ho us main bhi dum na ho
yeh kya ke aik dar se bandhe hon tamaam umar
yeh kya ke aik baar bhi nazar -e- karam na ho
yah kya ke sab se daad ke talib ho shayaro
yaani ke woh bhi roye ke jise koi gham na ho
ae kash ke apni jang chiRre us badan ke sath
aur dono samt aman ka koi alam na ho
sansain ukhaRr ukhaRr kar chalen par chalen zaroor
hum main agar judai ho to kabhi aik dum na ho
The post har dukh mujhe qabool magar yeh sitam na ho appeared first on Ranjish.com.
from Ranjish.com https://ift.tt/3a0SakJ