agarche main ik chaTaan sa admi raha hoon
magar tere baad hausla hai ke jee raha hoon
woh raiza raiza mere badan main utar raha hoon
main qatra qatra usi ki ankhon ko pee raha hoon
teri hatheli pe kis ne likha hai qatal mera
mujhe to lagta hai main tera dost bhi raha hoon
khuli hain ankhen magar badan hai tamaam pathar
koi bataye main mar chuka hoon ke jee raha hoon
kahan mile gi misaal meri sitamgari ki
ke main gulab-on ke zakham kanTon se see raha hoon
na puch mujh se ke sheher walon ka haal kya tha
ke main to khud apne ghar main bhi do ghaRi raha hoon
mila to beete dinon ka sach us ki ankhon main tha
woh ashnaa jis se muddaton ajnabi raha hoon
bhula de mujh ko ke bewafayi bajaa hai lekin
ganwaa na mujh ko ke main teri zindagi raha hoon
woh ajnabi ban ke bhi ab mile to kya hai mohsin
yeh naaz kam hai ke main bhi us ka kabhi raha hoon
The post agarche main ik chaTaan sa admi raha hoon appeared first on Ranjish.com.
from Ranjish.com https://ift.tt/3dKgnMZ