zeher aesa tha kuch zabaan-on main
teer hote hain jaise kamaan-on main
maazrat hai jo meri baat-on se
farq aaya ho tere shaanon main
woh mohabbat to uTh gayi kab ki
tazkara reh gaya fasaanon main
khud ko dekhoon, tujhe, ke duniya ko
zindagi baTt gayi hai khaanon main
tu nahin hai magar teri awaz
ab bhi rass gholti hai kaan-on main
ab khuda bhi kisi ko yaad nahin
paRr gaye log kin gumaan-on main
daaj pyara hai un ko dulhan se
yeh riwayat hai kuch gharanon main
sheher veeran ho gaya sara
log ab band hain makaan-on main
waizon ki suno magar bali
ungliyan de ke apne kaan-on main
The post zeher aesa tha kuch zaban-on main appeared first on Ranjish.com.
from Ranjish.com https://ift.tt/39raIdB