silsila khatam hua jalne jalane wala
ab koi khawb nahin neend uRrane wala
yeh woh sehraa hai sujhaye na agar tu rasta
khaak ho jaye yahan khaak uRrane wala
kya kare ankh jo pathrane ki khawhish na kare
khawb ho jaye agar khawb dikhane wala
yaad ata hai ke main khud se yahin bichRra tha
yahi rasta hai tere sheher ko jane wala
ae hawa us se yeh kehna ke salamat hai abhi
tere phoolon ko kitabon main chupane wala
zindagi apni andheron main basar karta hai
tere anchal ko sitaron se sajane wala
sabhi apne nazar ate hain bazahir lekin
roothne wala hai koi na manane wala
le gayin door bohat door hawa-en jis ko
wohi badal tha meri pyas bujhane wala
The post silsila khatam hua jalne jalane wala appeared first on Ranjish.com.
from Ranjish.com https://ift.tt/3sBhYv1