samajh na paayi ke kya be-muhaar chahta tha
ajeeb shakhss tha khud se faraar chahta tha
woh meri arz bhi hukman shumaar karne laga
woh har tarah se mera aitbaar chahta tha
usay qabool thi wese to meri majboori
magar woh mujh pe zara ikhteyar chahta tha
jawan dilon ke marahil to tey kiye saray
magar woh vasl main kuch intezar chahta tha
tamaniyat na mili mujh ko phir kisi surat
ke mera dil bhi to hona figaar chahta tha
kabhi na ashk bahao gi mujh se vaada karo
woh pyar main bhi faqat iqtidaar chahta tha
bas ik anaa thi ke jis na dabo diya us ko
magar woh phir bhi ussi ka hisaar chahta tha
sabhi charagh e mohabbat bhuja diye us ne
ke woh hawa pe bhi hona sawaar chahta tha
woh thak geya tha mohabbat ki arzu karte
bichaRr ke mujh se woh shayad qaraar chahta tha
yeh dastaan bhi usi shakhss ne likhi ushba
taveel qisse main jo ikhtisaar chahta tha
The post Samajh na paayi ke kya be-muhaar chahta tha.. appeared first on Ranjish.com.
from Ranjish.com https://ift.tt/3das6V0