yeh weham jaane mere dil se kyun nikal nahin raha,
ke us ka bhi meri tarah jee sambhal nahin raha,
koi warq dikha jo ashq-e-khoon se tarbatar na ho,
koi ghazal dikha jahan woh daagh jal nain raha,
main aik hijr-e-be-muraad jhailta hoon raat din,
jo aese sabr ki tarah hai jis ka phall nahin raha,
tou ab mere tamam ranj mustaqil rahen ge kya,
tou kya tumhari khamoshi ka koi hall nahin raha ?
kaRri musafton ne kis ke paon shall nahin kiye ?
koi dikhao jo bichaRr ke hath mall nahin raha..
The post Yeh weham jaane mere dil se kyun nikal nahin raha. appeared first on Ranjish.com.
from Ranjish.com https://ift.tt/2MXn9W8