Aik shakhss yahan mubtalaa-e-hairat hai,
jo aagahi main hai wo mawraye–hairat hai,
suna hai aj bhi woh mujh ko yaad karta hai,
par is khabar main khushi ke bajaye hairat hai,
mere sikhaye bhi shamil hain nuktaa-cheenon main,
baRrh gaye hain mere qadd se saye hairat hai,
Jahan se guzre woh har cheez theher jati hai,
faqat woh laRrki nahin saraye hairat hai,
yahan to koi baseerat-zada nahin milna,
chaar samt ajab se wabaye–hairat hai,
main un tamam manazir ka hoon bohat mamnoon,
ke jin ke husn ke sadqe baqaye hairat hai,
hawaas-bakhta hoon main sun ke teri batain,
rakhe hai tu bhi mohabbat pe raye, hairat hai,
humen tu itni musafat pe baad bhi na mila,
kisi ko mil gaya bethe bithaye hairat hai..
The post Aik shakhss yahan mubtlaa-e-hairat hai. appeared first on Ranjish.com.
from Ranjish.com https://ift.tt/2MveGJZ