tere baad koi bhi gham assar nahin kar saka,
Koi saaneha meri aankh tar nahin kar saka,
mujhe ilm tha mujhe kam paRre gi yeh roshni,
sau main inhisar charagh par nahin kar saka,
mujhe chaal chalne main dair ho gayi aur main,
koi aik mohra idhar udhar nahin kar saka,
mere aas paas ki muflisi, meri maazrat,
tera intizam main apne ghar nahin kar saka,
mujhe jhoot ke woh jawaaz paish kiye gaye,
kisi baat par main agar magar nahin kar saka..
The post Tere baad koi bhi gham assar nahin kar saka.. appeared first on Ranjish.com.
from Ranjish.com https://ift.tt/2MW4EkX