tum agar seekhna chaho mujhe batlaa dena,
aam sa fun to koi hai nahin tohfa dena,
aik hi shakhss hai jis ko yeh hunar ata hai,
rooth jane par fazaa aur bhi mehkaa dena,
bhaamp lena ke bohat waqt nahin us ke pas,
aur phir us ko kisi behas main uljha dena,
un bazurgon ka yehi kaam hua karta tha,
jahan khoobi nazar ayi use chamka dena,
husn duniya main isi kaam ko bheja gaya hai,
ke jahan aag lagi ho use bhaRrka dena,
dil batata hai mujhe aqal ki baatain kya kya,
banda pooche ke tera hai koi lena dena ?
Aur kuch yaad na rehta tha laRrayi main use,
haan magar mere guzishta ka hawala dena,
us ki fitrat main na tha tarq-e-talluq lekin,
dusre shakhss ko is nehj pe pohancha dena,
Janta tha ke bohat khaak uRraye ga meri,
koi asaan nahin tha use rasta dena,
yeh woh mansab hain jo apnon ko diye jate hain,
yaad kya rakhna aur bhula kya dena,
dil ka samaan koi khaak khareede us se,
yaad hi na rehta ho jise baqaya dena,
kya pata khud se chiRri jang kahan le jaye,
jab bhi yaad aon meri jaan ka sadqa dena,
baat karne se gurezan nazar ate hain lekin,
khatam hai hazrat-e-jawad pe luqma dena..
The post Tum agar seekhna chaho mujhe batlaa dena.. appeared first on Ranjish.com.
from Ranjish.com https://ift.tt/3pMSOYK