main neem shab main sitaron ko dekhta hi nahin
sau ishq jaisa mujhe koi masla hi nahin
woh shakhss jis se mujhe bepanah mohabbat hai
kabhi libas-e-bashar main mujhe mila hi nahin
bas aik baar usse muskurate dekha tha
koi nazara nigahon ko phir jacha hi nahin
ajeeb tarz ki mehroom-iyon se guzre hum
jo zindagi tha wohi zindagi main tha hi nahin
woh ankh jo uthi nahin kabhi hum par
woh aik teer jo hum par kabhi chala hi nahin
bas aik soz-e-daroon tha jo jalta bujhta raha
charagh-e-ashq sar-e-taak-e-chashm tha hi nahin
The post main neem shab main sitaron ko dekhta hi nahin appeared first on Ranjish.com.
from Ranjish.com https://ift.tt/3g9ND2W