Tu hawa ke hathon pe chahton ka diya jalane ki zid na kar,
Yeh udaas logon ka sheher hai, yahan muskurane ki zid na kar,
Main hoon doston ka dassa hua, mera gham hai hadh se baRrha hua,
Main shikasta-ghar ki misaal hoon, mere paas aane ki zid na kar,
Main teri ghazal to nahin hoon na, jo har aik lab pe saja rahoon,
Main to aik misra-e-dard hoon, mujhe gungunane ki zid na kar,
Abhi laut aa, abhi waqt hai, abhi jaan baaqi hai jism main,
Tujhe ilm hai meri jaan hai tu, mujhe azmaane ki zid na kar..
The post Diya jalane ki zid na kar.. appeared first on Ranjish.com.
from Ranjish.com http://bit.ly/2ELp5M2