Tu mujh ko sun raha hai to sunayi kyun nahin deta,
Yeh kuch ilzam hain mere, safayi kyun nahin deta,
Mere hanste huye lehje se dhoka kha rahe ho tum,
Mera utra hua chehra, dikhayi kyun nahin deta,
Nazar–andaz kar rakha hai duniya ne tujhe kab se,
Kisi din apne hone ki duhayi kyun nahin deta,
Main tujh ko dekhne se kis liye mehroom rehta hoon,
Ataa karta hai jab nazren, rasayi kyun nahin deta,
Kayi lamhe chura kar rakh liye tu ne alag mujh se,
Tu mujh ko zindagi bhar ki kamayi kyun nahin deta..
The post Tu mujh ko sun raha hai to sunayi kyun nahin deta.. appeared first on Ranjish.com.
from Ranjish.com https://ift.tt/2wzcANJ