Kaho to laut jaate hain
abhi to baat lamhon tak hai
salon tak nahin ayi
abhi muskanon ki naubat bhi
nalon tak nahin ayi
abhi to koi majboori
khayalon tak nahin ayi
abhi to gard pairon tak hai
balon tak nahin ayi
kaho to laut jate hain
chalo ik faisla karne shajar ki aott jate hain
abhi kajal ki dori surkh galon tak nahin ayi
zaban danton talak hai zeher payalon tak nahin ayi
abhi to mushk-e-kasturi ghazalon tak nahin ayi
abhi rudad-e-beunwan hamare tak hai
duniya walon tak nahin ayi
kaho to laut jate hain
chalo ik faisla karne shajar ki aott jate hain
abhi nazdeek hain ghar aur manzil door hai apni
mabada naar ho jaye
yeh hasti noor hai apni
kaho to laut jate hain
chalo ik faisla karne shajar ki aott jate hain
yeh rasta pyar ka rasta
rasan ka taar ka rasta
bohat dushwar hai janan
is raste ka har zara bhi ik kohsar hai janan
kaho to laut jate hain
mere baray na kuch socho
mujhe teh karna ata hai
rasan ka taar ka rasta
yeh andhi ghaar ka rasta
tumhare gesuyon ki chaon mil jaye
to suraj se ulajhna baat hi kya hai
utha lo apna saya tum
meri aukat hi kya hai
tumhara narm-o-nazuk hath ho gar mere hathon main
to main samjhoon ga jese do jahan hon meri muthi main
tumhara qurb ho to
mushkilen kafur ho jayen
yeh andhe aur kalay raste pur-noor ho jayen
mujhe maloom hai itna
ke dayam zindagi posheeda hai
in chaar qadmon main
bohat si rahaten muzmir hain in dushwar raston main
mere baray na kuch socho
tum apni baat batlao
kaho to chalte rehte hain
kaho to laut jaate hain
The post Kaho to laut jaate hain.. appeared first on Ranjish.com.
from Ranjish.com http://ift.tt/2lQZCG0