Wednesday, 31 January 2018

Nahi Tum Se Koi Shikayat

,
Nahi Tum Se Koi Shikayat
Bus Itni Si iltija Hai
Jo Haal Kar Gaye Ho
Kabhi Dekhne Mat Ana...

Nahi Tum Se


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2rWfRH2

Tuesday, 30 January 2018

Zindagi Tu Hi Mukhtasir Ho Ja

,
Zindagi Tu Hi Mukhtasir Ho Ja
Shab-E-Gham Mukhtasir Nahi Hogi...

Zindagi Tu Hi


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2DNhoRc

Saturday, 27 January 2018

Unhe apne dil ki khabren mere dil se mil rahi hain..

,

Unhe apne dil ki khabren mere dil se mil rahi hain,
Main jo un se rooth jaon to payaam tak na pohanche..

The post Unhe apne dil ki khabren mere dil se mil rahi hain.. appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com http://ift.tt/2DGZ8cj

Friday, 26 January 2018

Pathar K Rat-Jagy Meri Aankhon Me Gaarh Kar

,
Pathar K Rat-Jagy Meri Aankhon Me Gaarh Kar
Rakh Di Tere Firaaq Ne Meri Aankhen Ujaar Kar...

Pathar K Rat


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2EdyMzQ

Nahi Jal Rahe The Diye Jahan

,
Nahi Jal Rahe The Diye Jahan
Wahan Mene Ankhen Jalai Hain
Jahan Dhoop Tez Thi Door Tak
Wahan Mene Palkain Bichai Hain...

Nahi Jal Rahe


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2nf61un

Jo Beet Gai Dil Pe Kab Uski Shikayat Ki

,
Jo Beet Gai Dil Pe Kab Uski Shikayat Ki
Ek Mom Ki Guriya Ne Sooraj Se Mohababt Ki...

Jo Beet Gai


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2DF1sVh

Wednesday, 24 January 2018

Baaz Aa Jao Mohabbat Se Mohabbat Walo

,
Baaz Aa Jao Mohabbat Se Mohabbat Walo
Hum Ne Ek Umer Gawai Hai Mila Kuch Bhi Nahi...

Submitted By: Bilal Hussain Sonu

Baaz Aa Jao


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2DDc2et

Tuesday, 23 January 2018

Log Jo Door Jaa Chuke Hain Bohat

,
Log Jo Door Jaa Chuke Hain Bohat
Un Ki Yaadein Hain Mere Pas Abhi...

Log Jo Door


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2Boucvw

Khatam Apna Wajood Kar Jaun

,
Khatam Apna Wajood Kar Jaun
Jee Me Ata Hai Aj Mar Jaun...

Khatam Apna Wajood


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2n6CseD

Monday, 22 January 2018

Hasratain Yoon Lipat Kar Roti Hain

,
Hasratain Yoon Lipat Kar Roti Hain
Zindagi Ek Mazaar Ho Jese...

Hasratain Yoon Lipat


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2DxYFMB

Har Dua Me Raha Khayal Tera

,
Har Dua Me Raha Khayal Tera
Is Tarha Tujh Se Rabta Rakha...

Har Dua Me


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2DpvIiO

Sunday, 21 January 2018

Aj Sary Chiragh Gul Kar Do

,
Aj Sary Chiragh Gul Kar Do
Aj Andhera Bohat Muqaddas Hai...

Aj Sary Chiragh


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2F2uD0G

Maan Leta Hun Mukammal Ho Tum

,
Maan Leta Hun Mukammal Ho Tum
Maan Leta Hun Kami Hai Mujh Me...

Maan Leta Hun


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2BhwdcU

Khoobsurti Ki Intiha Dekhi

,
Khoobsurti Ki Intiha Dekhi
Jab Muskurati Hui Maa Dekhi...

Khoobsurti Ki Intiha


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2DvTsVB

Mere Sath Bhi Beet Gai

,
Mere Sath Bhi Beet Gai
Aik Kahani Suni Sunai...

Submitted By: Ansar Abbas

Mere Sath Bhi


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2G0PbI4

Friday, 19 January 2018

Hum Se Taskheer Mohabbat K Sitary Na Hue

,
Hum Se Taskheer Mohabbat K Sitary Na Hue
Zindagi Aap The Aur Aap Hamary Na Hue...

Hum Se Taskheer


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2mPOB7z

Kuch Na Kehna Chup Chup Rehna Ye Bhi Ek Udaasi

,
Kuch Na Kehna Chup Chup Rehna Ye Bhi Ek Udaasi Hai
Hans K Sary Sadmay Sehna Ye Bhi Ek Udaasi Hai...

Kuch Na Kehna


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2EWLDFD

Thursday, 18 January 2018

Jab Se Kisi Kangan Ne Usy Zakhm Dia Hai

,
Jab Se Kisi Kangan Ne Usy Zakhm Dia Hai
Hathon Me Kisi K Wo Kalai Nahi Deti...

Blogger: Waqas Ali


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2DnHC0A

Tuesday, 16 January 2018

Tu Itna Kar Hi Nahi Sakta Tha Mujh Ko

,
Tu Itna Kar Hi Nahi Sakta Tha Mujh Ko
Jitna Mene Kia Hai Barbad Khud Ko...

Tu Itna Kar


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2B5LJIu

Monday, 15 January 2018

Bohat Din Ho Gaye Shayad Sahara Kar Lia Us Ne

,
Bohat Din Ho Gaye Shayad Sahara Kar Lia Us Ne
Humary Bad Bhi Akhir Guzara Kar Lia Us Ne
Humara Zikr To Us K Labon Par Aa Nahi Sakta
Humain Ehsas Hai Hum Se Kinara Kar Lia Us Ne...

Bohat Din Ho


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2mAF7wJ

Sunday, 14 January 2018

Be-Dil Be-Zameer Be-Sharam Be-Haya

,
Be-Dil, Be-Zameer, Be-Sharam, Be-Haya
Wo Darinda Jis Ne Phool Ko Apne Pairon Taly Kuchla...

Submitted By: Hamza

Be-Dil Be-Zameer


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2D2NYOM

Saturday, 13 January 2018

Manzilen lakh kathan ayen, guzar jaon ga..

,

Manzilen lakh kathan ayen, guzar jaon ga,
Hausla haar ke betha to mar jaon ga,

Chal rahe thay jo mere sath kahan hain woh log,
Jo yeh kehte thay ke raste main bikhar jaon ga,

Darbadar hone se pehle kabhi socha bhi na tha,
Ghar mujhe raas na aya to kidhar jaon ga,

Yaad rakhe mujhe duniya teri tasveer ke sath,
Rung aese teri tasveer main bhar jaon ga,

Lakh roken yeh andhere mera rasta lekin,
Main jidhar roshni jaye gi, udhar jaon ga,

Raas ayi na mohabbat mujhe warna saqi,
Maine socha tha ke har dil main utar jaon ga..

The post Manzilen lakh kathan ayen, guzar jaon ga.. appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com http://ift.tt/2D7iLht

Thursday, 11 January 2018

Hazaar Mosam Badal Chuky Hain

,
Hazaar Mosam Badal Chuky Hain
Magar Hai Dil Me Khizaan Ka Mosam

Bichar K Tum Se Kahan Hun Zinda
Guzar Raha Hai Saza Ka Mosam

Mohabbaton Me Kahan Hai Chahat
Kahan Raha Ab Qaza Ka Mosam

Khalish Rahi Ye K Tum Manaty
Par Aa Chuka Ab Nazaa Ka Mosam

Wohi Mile Ga Jo Boya Tum Ne
Jo Aya Ek Din Jaza Ka Mosam

'Ali' Me Us Ko Bhulaun Kese
Wohi Hai Dil Ki Raza Ka Mosam...

Submitted By: Muhammad Rizwan


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2qTo0f7

Do Din Ki Khushi Umar Bhar Ka Rog

,
Do Din Ki Khushi Umar Bhar Ka Rog
Wah Re Mohabbat Teri Sood Khoriyan...

Submitted By: Ansar Abbas

Do Din Ki


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2qTTIsp

Bohat Mazboot Rishte The

,
Bohat Mazboot Rishte The
Bohat Kamzor Logon Se...

Submitted By: Ansar Abbas

Bohat Mazboot Rishte


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2EvAUlb

Wednesday, 10 January 2018

Is Dard Ki Duniya Se Guzar Kiun Nahi Jate

,
Is Dard Ki Duniya Se Guzar Kiun Nahi Jate
Ye Log Bhi Kya Log Hain Mar Kiun Nahi Jate

Hai Kon Zamany Me Mera Puchne Wala
Nadaan Hain Jo Kehte Hain K Ghar Kiun Nahi Jate

Sholay Hain To Kiun In Ko Bharakte Nahi Dekha
Hain Khaak To Rahon Me Bikhar Kiun Nahi Jate

Ansoo Bhi Hain Ankhon Me Duain Bhi Hain Lub Par
Bigray Hue Halaat Sanwar Kiun Nahi Jate...

*Habib Jalib*
Submitted By: Shahid Aziz Anjum


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2qOtG9U

Humain Ata Hi Nahi Zakhmon Ki Numaish Karna

,
Humain Ata Hi Nahi Zakhmon Ki Numaish Karna
Khud Hi Rote Hain, Tarapte Hain, Behel Jate Hain...

Humain Ata Hi


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2FlVyWk

Tuesday, 9 January 2018

Kon Jeeta Hai Zindagi Apni

,
Kon Jeeta Hai Zindagi Apni
Har Kisi Pe Koi Musallat Hai...

Kon Jeeta Hai


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2mkpnOX

Bichar Gaya Hai Kahin Dar Badar Na Ho Jaye

,
Bichar Gaya Hai Kahin Dar Badar Na Ho Jaye
Mere Khuda Usy Hifz-O-Amaan Me Rakhna...

Bichar Gaya Hai


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2DadDpw

Monday, 8 January 2018

Aap Aa Gaye Agar Ayadat Ko

,
Aap Aa Gaye Agar Ayadat Ko
Hum Bhi Paun Me Gir K Roenge...

Aap Aa Gaye


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2CJfpx3

Baqi Hi Kya Raha Hai Tujhe Mangny K Bad

,
Baqi Hi Kya Raha Hai Tujhe Mangny K Bad
Bus Ek Dua Me Choot Gaye Har Dua Se Hum...

Submitted By: Muhammad Fayaz

Baqi Hi Kya


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2CTQ8o0

Mujh Ko Mujh Me Jagah Nahi Milti

,
Mujh Ko Mujh Me Jagah Nahi Milti
Tu Hai Mojood Is Qadar Mujh Me...

Submitted By: Muhammad Fayaz


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2m8ZUr9

Sunday, 7 January 2018

Hazaron Na-Mukammal Bojh Taly

,
Hazaron Na-Mukammal Bojh Taly
Dil Jo Dharakta Hai Kamal Karta Hai...

Submitted By: Sarah Qamar

Hazaron Na-Mukammal


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2D1r1w5

Friday, 5 January 2018

Baat Bahana

,
sponsored links Bat Batane ka bahana kar k Chuma tha usk Gallon ko Ab wo roz zid karti hai mujey Wo bat bata do na

from Urdu Sms , Love Sms , Poetry Sms , Funny Sms http://ift.tt/2F5hVPJ

Udaasi Kha Gai Shabaab Ko

,
Udaasi Kha Gai Shabaab Ko
Warna Bohat Dilkash The Hum...

Udaasi Kha Gai


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2lYe9yR

Ao Mil Kar Karein Wafa Roshan

,
Ao Mil Kar Karein Wafa Roshan
Me Sulagta Hun Tum Hawa Dena...

Ao Mil Kar


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2qnSgOE

Thursday, 4 January 2018

Wadat Zaruraton Ki Nazar Kar Diye Gaye

,
Wadat Zaruraton Ki Nazar Kar Diye Gaye
Rishte Hain Sary Rait K Dewaar Ki Tarha...

Wadat Zaruraton Ki


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2Ctxq1U

Kaho to laut jaate hain..

,

Kaho to laut jaate hain
abhi to baat lamhon tak hai
salon tak nahin ayi
abhi muskanon ki naubat bhi
nalon tak nahin ayi
abhi to koi majboori
khayalon tak nahin ayi
abhi to gard pairon tak hai
balon tak nahin ayi
kaho to laut jate hain

chalo ik faisla karne shajar ki aott jate hain
abhi kajal ki dori surkh galon tak nahin ayi
zaban danton talak hai zeher payalon tak nahin ayi
abhi to mushk-e-kasturi ghazalon tak nahin ayi
abhi rudad-e-beunwan hamare tak hai
duniya walon tak nahin ayi
kaho to laut jate hain

chalo ik faisla karne shajar ki aott jate hain
abhi nazdeek hain ghar aur manzil door hai apni
mabada naar ho jaye
yeh hasti noor hai apni
kaho to laut jate hain

chalo ik faisla karne shajar ki aott jate hain
yeh rasta pyar ka rasta
rasan ka taar ka rasta
bohat dushwar hai janan
is raste ka har zara bhi ik kohsar hai janan
kaho to laut jate hain

mere baray na kuch socho
mujhe teh karna ata hai
rasan ka taar ka rasta
yeh andhi ghaar ka rasta

tumhare gesuyon ki chaon mil jaye
to suraj se ulajhna baat hi kya hai
utha lo apna saya tum
meri aukat hi kya hai
tumhara narm-o-nazuk hath ho gar mere hathon main
to main samjhoon ga jese do jahan hon meri muthi main
tumhara qurb ho to
mushkilen kafur ho jayen
yeh andhe aur kalay raste pur-noor ho jayen

mujhe maloom hai itna
ke dayam zindagi posheeda hai
in chaar qadmon main
bohat si rahaten muzmir hain in dushwar raston main
mere baray na kuch socho
tum apni baat batlao
kaho to chalte rehte hain
kaho to laut jaate hain

The post Kaho to laut jaate hain.. appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com http://ift.tt/2lQZCG0

Yoon Ghalat To Nahi Chehron Ka Ta'asur Bhi

,
Yoon Ghalat To Nahi Chehron Ka Ta'asur Bhi Magar
Log Wese Bhi Nahi Jese Nazar Aty Hain...

Yoon Ghalat To


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2EW3RI3

Wednesday, 3 January 2018

Us Qabeely Me Koi Ishq Se Waqif Hi Nahi

,
Us Qabeely Me Koi Ishq Se Waqif Hi Nahi
Log Hansty Hain Meri Chaak Girebaani Par...

Us Qabeely Me


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2AmcDvD

Tuesday, 2 January 2018

Mene Dekhe Hain Kayi Saal Naye Ate Hue

,
Mene Dekhe Hain Kayi Saal Naye Ate Hue
Mene Phainky Hain Kayi Saal Purany Kar K...

Mene Dekhe Hain


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2Cw4E56

Monday, 1 January 2018

Sakoon De Na Saki Rahatain Zamany Ki

,
Sakoon De Na Saki Rahatain Zamany Ki
Jo Nend Ayi Tere Gham Ki Chaon Me Ayi...

Sakoon De Na


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2lBCYkD

Tujh Ko Nikal Kar Dekha Hai

,
Tujh Ko Nikal Kar Dekha Hai
Mere Andar Kuch Nahi Bachta...

Tujh Ko Nikal


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2lxWGO4
 

usa blog Copyright © 2011 | Template design by O Pregador | Powered by Blogger Templates