Tere qareeb aa ke baRri uljhanon main hoon,
Main dushmanon main hoon ke tere doston main hoon,
Mujh se guraiz-pa hai to har rasta badal,
Main sang-e-raah hoon to sabhi raston main hoon,
Tu aa chuka hai satah par kab se khabar nahin,
Be-dard main bhi inhi gehrayion main hoon,
Ae yaar khush-dayar tujhe kya khabar ke main,
Kab se udasiyon ke ghanay junglon main hoon,
Tu luuTt kar bhi ehl-e-tamanna ko khush nahin,
Main luTt kar bhi wafa ke inhin qafilon main hoon,
Badla na mere baad bhi mozuu-e-guftgu,
Main ja chuka hoon phir bhi teri mehfilon main hoon,
Mujh se bichaRr ke tu bhi roye ga umar bhar,
Yeh soch le ke main bhi teri khawhishon main hoon,
Tu hanss raha hai mujh pe mera haal dekh kar,
Aur phir bhi main shareek tere qehqahon main hoon,
Khud bhi misaal-e-lala-e-sehraa lahuu lahuu,
Aur khud faraz apne tamashiyon main hoon..
The post Tere qareeb aa ke baRri uljhanon main hoon.. appeared first on Ranjish.com.
from Ranjish.com https://ift.tt/2XTXkJR