Kya aese kam-sukhann se koi guftgu kare,
Jo mustaqil sakoot se dil ko lahuu kare,
Ab to humen bhi tark-e-marasim ka dukh nahin,
Par dil yeh chahta hai ke aghaaz tu kare,
Tere baghair bhi to ghaneemat hai zindagi,
Khud ko ganwa ke kaun teri justuju kare,
Ab to yeh arzuu hai ke woh zakham khaiye,
Ta-zindagii yeh dil na koi arzuu kare,
Tujh ko bhula ke dil hai woh sharminda-e-nazar,
Ab koi hadsa hi tere rubaru kare,
Chup-chaap apni aag main jalte raho faraz,
Duniya to arz-e-haal se be-abruu kare..
The post Kya aese kam-sukhan se koi guftgu kare.. appeared first on Ranjish.com.
from Ranjish.com https://ift.tt/2QhU5X6