Wednesday, 16 October 2019

Na jee bhar ke dekha na kuch baat ki..

,

Na jee bhar ke dekha na kuch baat ki,
BaRri aarzu thi mulaqat ki..

The post Na jee bhar ke dekha na kuch baat ki.. appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/2oCvtyP

Wednesday, 9 October 2019

BaRre tahammul se rafta rafta nikalna hai..

,

BaRre tahammul se rafta rafta nikalna hai,
Bacha hai jo tujh main mera hissa nikalna hai,

Yeh ruuh barson se dafan hai tum madad karo ge ?
Badan ke malbe se is ko zinda nikalna hai,

Nazar main rakhna kahin koi ghamm-shanaas gahak,
Mujhe sukhan bechna hai, kharcha nikalna hai,

Nikaal laya hoon ek pinjre se ik parinda,
Ab is parinde ke dil se pinjra nikalna hai,

Yeh tees barson se kuch baras peeche chal rahi hai,
Mujhe ghaRri ka kharab purza nikalna hai,

Khayal hai khandan ko ittilaa de doon,
Jo katt gaya us shajar ka shajra nikalna hai,

Main aik kirdar se baRra tang hoon qalamkaar,
Mujhe kahani main Ddaal ghussa nikalna hai..

The post BaRre tahammul se rafta rafta nikalna hai.. appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/30VFrZb

Tuesday, 8 October 2019

Zindagi kum paRrhe pardesi ka khat hai..

,

Zindagi kum paRrhe pardesi ka khat hai ibrat,
Yeh kisi tarah paRrha jaye na samjha jaye..

The post Zindagi kum paRrhe pardesi ka khat hai.. appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/2B135sp

Sar se paa tak woh gulabon ka shajar lagta hai..

,

Sar se paa tak woh gulabon ka shajar lagta hai,
Ba-wuzu ho ke bhi chhute huye Ddar lagta hai,

Main tere sath sitaron se guzar sakta hoon,
Kitna asaan mohabbat ka safar lagta hai,

Mujh main rehta hai koi dushman-e-jaani mera,
Khud se tanhai main milte huye Ddar lagta hai,

But bhi rakhe hain namazen bhi adaa hoti hain,
Dil mera dil nahin Allah ka ghar lagta hai,

Zindagi tu ne mujhe qabr se kam di hai zameen,
Paaon phailaaun to deewar main sar lagta hai..

The post Sar se paa tak woh gulabon ka shajar lagta hai.. appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/2VnOzV6

Monday, 7 October 2019

Wo bachpan tha jab sham bhi hua karti thi

,
Wo bachpan tha jab sham bhi hua karti thi
Ab to subha ke bad sidhi raat ho jati ha


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam https://ift.tt/31QTDDU

Hum kya kahen ehbaab kya kaar-e-numayaan kar gaye..

,

Hum kya kahen ehbaab kya kaar numayaan kar gaye,
BA huye, naukar huye, pension mili phir mar gaye..

The post Hum kya kahen ehbaab kya kaar-e-numayaan kar gaye.. appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/2Vmh7hZ

Ae shamaa tujh pe yeh raat bhaari hai jis tarah..

,

Ae shamaa tujh pe yeh raat bhaari hai jis tarah,
Maine tamaam raat guzaari hai iss tarah..

The post Ae shamaa tujh pe yeh raat bhaari hai jis tarah.. appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/2IunVVo

Sunday, 6 October 2019

Rasta sochte rehne se kidhar banta hai..

,

Rasta sochte rehne se kidhar banta hai,
Sar main saudaa ho to deewar main dar banta hai..

The post Rasta sochte rehne se kidhar banta hai.. appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/30RzvQE

Tuesday, 1 October 2019

Jaagna aur jagaa ke so jana..

,

Jaagna aur jagaa ke so jana,
Raat ko din bana ke so jana,

Text karna tamaam raat us ko,
Ungliyon ko dabaa ke so jana,

Aaj phir dair se ghar aya hoon,
Aaj phir muu bana ke so jana..

The post Jaagna aur jagaa ke so jana.. appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/2ob5Fcs

Wohi charaagh bujha jis ki lau qayamat thi..

,

Wohi charaagh bujha jis ki lau qayamat thi,
Ussi pe zarb paRri jis jo shajar purana tha..

The post Wohi charaagh bujha jis ki lau qayamat thi.. appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/2nmi0KB
 

usa blog Copyright © 2011 | Template design by O Pregador | Powered by Blogger Templates