Monday, 30 September 2019

Sab log jidhar woh hain udhar dekh rahe hain..

,

Sab log jidhar woh hain udhar dekh rahe hain,
Hum dekhne walon ki nazar dekh rahe hain..

The post Sab log jidhar woh hain udhar dekh rahe hain.. appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/2nY61CU

Sunday, 29 September 2019

Qadam mila ke zamane ke sath chal na sake..

,

Qadam mila ke zamane ke sath chal na sake,
Bohat sambhal ke chale hum magar sambhal na sake..

The post Qadam mila ke zamane ke sath chal na sake.. appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/2mCh84r

Thursday, 26 September 2019

Wafa ke zikr chiRra tha ke raat beet gayi..

,

Wafa ke zikr chiRra tha ke raat beet gayi,
Abhi to rang jamma tha ke raat beet gayi,

Yahan to charon taraf ab talak andhera hai,
Kisi ne mujhe se kaha tha ke raat beet gayi,

Main raat zeest ka qissa sunane beth gaya,
Abhi shuru kiya tha ke raat beet gayi,

Uthe thay hath dua ke liye ke raat kaTte.
Dua main aesa bhi kya tha ke raat beet gayi,

Khushi zaroor thi taimur din nikalne ki,
Magar yeh gham bhi siwa tha ke raat beet gayi..

The post Wafa ke zikr chiRra tha ke raat beet gayi.. appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/2lUaZQA

Wednesday, 25 September 2019

Gilaa bhi tujh se bohat hai magar mohabbat bhi..

,

Gilaa bhi tujh se bohat hai magar mohabbat bhi..
Woh baat apni jagah hai, yeh baat apni jagah..

The post Gilaa bhi tujh se bohat hai magar mohabbat bhi.. appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/2kZSN7D

Monday, 23 September 2019

Neni ne choRr dala hai shab bhar ko jaagna.

,

Neni ne choRr dala hai shab bhar ko jaagna,
Raaton ko jaagne se badalte nahi hain din.

The post Neni ne choRr dala hai shab bhar ko jaagna. appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/2l49qz5

Ab dil bujha bujha hai mujhe maar dijiye..

,

Ab dil bujha bujha hai mujhe maar dijiye,
Jeene main kya rakha hai mujhe maar dijiye,

Dil ke maraz ka ab nahin duniya main kuch ilaaj,
Yeh ishq-e-la-davaa hai mujhe maar dijiye,

Main be-gunaah hoon to phir yehi hai meri saza,
Yeh faisla hua hai mujhe maar dijiye,

Darta hoon aayine ko lagane se hath main,
Kehta yeh aayina hai mujhe maar dijiye,

Main hoon wafa-shiar yahan jee ke kya karoon,
Yeh daur-e-bewafa hai mujhe maar dijiye,

Tanhayion ki qaid se ghabra ke aik shakhs,
Awaz de raha hai mujhe maar dijiye,

Ek baat josh josh main sach keh gaya hoon main,
Tum ko bura laga hai maar dijiye mujhe,

Tanhayi meri us se bhi dekhi nahin gayi,
Us ne bhi yeh kaha hai maar dijiye mujhe,

Rashk-e-chaman bana hai yeh arpit mera wajood,
Khushbu ko chhu liya hai mujhe maar dijiye..

The post Ab dil bujha bujha hai mujhe maar dijiye.. appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/2kSH9M1
 

usa blog Copyright © 2011 | Template design by O Pregador | Powered by Blogger Templates