Aarzu hai ke tu yahan aye,
Aur phir umar bhar na jaye kahin..
The post Aarzu hai ke tu yahan aye.. appeared first on Ranjish.com.
from Ranjish.com http://bit.ly/2UzCBpz
Aarzu hai ke tu yahan aye,
Aur phir umar bhar na jaye kahin..
The post Aarzu hai ke tu yahan aye.. appeared first on Ranjish.com.
Kisi faqeer ko dene main mat kammi keejiye.
Woh kaam aye ga jo kuch liya diya ho ga..
The post Kisi faqeer ko dene main mat kammi keejiye.. appeared first on Ranjish.com.
Anhoni kuch zaroor hui aj dil ke sath,
Nadaan tha magar yeh deewana kabhi na tha..
The post Anhoni kuch zaroor hui aj dil ke sath.. appeared first on Ranjish.com.
Yeh mohabbat ki kahani nahin marti lekin,
Log kirdar nibhate huye mar jate hain..
The post Yeh mohabbat ki kahani nahin marti lekin.. appeared first on Ranjish.com.
Shadeed pyas thi phir bhi chua na pani ko,
Main dekhta raha darya teri rawani ko..
The post Shadeed pyas thi phir bhi chua na paani ko.. appeared first on Ranjish.com.
Doob jaon, ke ubhar aon, ke darya ho jaon,
Aik main, kayi imkaan hain, kya kya ho jaon,
Ab ke bichRre hain to bas jaan pe ban ayi hai,
Ab ke main khud ko bachaa loon to karishma ho jaon,
Koi din tu mujhe dikh jaye kahin aik jhalak,
Koi shab toot ke ro loon to main acha ho jaon,
Aik hawas hi hai jis ne mujhe bachaa rakha hai,
Warna insan se kab ka main farishta ho jaon,
Yun to yeh sara zamana hi tamashai hai,
Tu agar dekhne aye to tamasha ho jaon..
The post Doob jaon, ke ubhar aon, ke darya ho jaon.. appeared first on Ranjish.com.
Gham ko inam-e-wafa bhi to nahin keh sakte,
Hum mohabbat ko khataa bhi to nahin keh sakte,
Yehi keh dete hain ab tujh se bichaRr kar khush hain,
Aur kuch is ke siwa bhi to nahin keh sakte,
Sari duniya main jo ik shakhss chuna tha, tu tha,
Ab tujhe khud hi bura bhi to nahin keh sakte..
The post Gham ko inam-e-wafa bhi to nahin keh sakte.. appeared first on Ranjish.com.
Teergi main subh ki tanveer ban jayen ge hum,
Khawb tum dekho ge aur tabeer ban jayen ge hum,
Ab ke yeh socha hai gar azaad tum ne kar diya,
Khud hi apne paaon ki zanjeer ban jayen ge hum,
Aansuon se likh rahe hain bebasi ki dastan,
Lag raha hai dard ki tasveer ban jayen ge hum,
Likh na paye jo kisi ki neem-baaz ankhon ka raaz,
Woh yeh vaada kar rahe hain, meer ban jayen ge hum,
Gar yun hi baRrhta raha shughal-e-mai-kashi,
Ek din is mai-kade ke peer ban jayen ge hum,
Us ne bhi auron ke jaise kiya hum se salook,
Jo yeh kehta tha teri taqdeer ban jayen ge hum..
The post Teergi main subh ki tanveer ban jayen ge hum.. appeared first on Ranjish.com.
Raaz jo kuch hon, isharon main bata bhi dena,
Hath jab us se milana to dabbaa bhi dena..
The post Raaz jo kuch hon, isharon main bata bhi dena.. appeared first on Ranjish.com.
usa blog Copyright © 2011 | Template design by O Pregador | Powered by Blogger Templates