Sunday, 31 March 2019

Apne hunar ki dhaak bithane main dair ki..

,

Apne hunar ki dhaak bithane main dair ki,
Jo dekhte rahe woh dikhane main dair ki,

Woh bhi qabooliyat ki ghaRri dhoondta raha,
Maine bhi apne hath uthane main dair ki,

Kis ko khabar hai us ki sehar kis jahan main ho,
Jungle main jis ne aag jalane main dair ki,

Mumkin hai ab ki baar woh bach kar na ja saken,
Choron ne mil kar shor machane main dair ki,

Ik baat thi jo waqt pe main keh nahin saka,
Ik khawb tha jo maine sunane main dair ki,

Tamoor main ne us ko gale se laga liya,
Jis ne bhi mujh se hath milane main dair ki..

The post Apne hunar ki dhaak bithane main dair ki.. appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/2YEOXzT

Ameer-e-karvan hai tang hum se..

,

Ameer-e-karvan hai tang hum se,
Hamara rasta sab se alag hai..

The post Ameer-e-karvan hai tang hum se.. appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/2ODrJWm

Tu ne dekha hai kabhi aik nazar shaam ke baad..

,

Tu ne dekha hai kabhi aik nazar shaam ke baad,
Kitne chup chaap se lagte hain shajar shaam ke baad,

Itne chup chaap ke raste bhi rahen la-ilam,
ChoRr jayen ge kisi roz nagar shaam ke baad,

Maine aese hi gunah teri judayi main kiye,
Jaise tufan main koi choRr de ghar shaam ke baad,

Shaam se pehle woh mast apni uRranon main raha,
Jis ke hathon main thay toote huye par sham ke baad,

Raat beeti to gine aabley aur phir socha,
Kaun tha bayes-e-aghaaz-e-safar shaam ke baad,

Tu hai suraj tujhe maloom kahan raat ka dukh,
Tu kisi roz mere ghar main utar shaam ke baad,

Laut aye na kisi roz woh awara mizaaj,
Khol rakhte hain isi aas pe dar shaam ke baad..

The post Tu ne dekha hai kabhi aik nazar shaam ke baad.. appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/2FMvwxv

Tere lagaye huye zakham kyun nahin bharte..

,

Tere lagaye huye zakham kyun nahin bharte,
Mere lagaye huye paiRr sookh jate hain,

Koi tumhara safar par gaya to poochain ge,
Ke rail guzre to hum hath kyun hilate hain..

The post Tere lagaye huye zakham kyun nahin bharte.. appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/2OBQSQZ

Mohabbat ki saza tark-e-mohabbat..

,

Mohabbat ki saza tark-e-mohabbat,
Mohabbat ka yehi inaam bhi hai..

The post Mohabbat ki saza tark-e-mohabbat.. appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/2FMuJN5

Monday, 25 March 2019

Hum hi zarre riswayi ke..

,

Hum hi zarre ruswayi se,
Kya shikwa harjayi se,

Ishq main aakhir haar hui,
Lakh chale danayi se,

Girvida karte hain phool,
Rangon aur ranayi se,

Milte hain anmol ratan,
Sagar ki gehrayi se,

Jhoot ke hol main betha hoon,
Darta hoon sachayi se,

Josh ne seekhi hai parwaz,
Sirf teri angRrayi se..

The post Hum hi zarre riswayi ke.. appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/2U93og8

Milne ki tarah mujh se woh pal bhar nahin milta..

,

Milne ki tarah mujh se woh pal bhar nahin milta,
Dil us se mila jis se muqaddar nahin milta..

The post Milne ki tarah mujh se woh pal bhar nahin milta.. appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/2Jz1m4H

Sunday, 24 March 2019

Ruswa huye, zaleel huye, dar-ba-dar huye..

,

Ruswa huye, zaleel huye, dar-ba-dar huye,
Haq baat lab pe ayi to hum be-hunnar huye..

The post Ruswa huye, zaleel huye, dar-ba-dar huye.. appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/2uv4i85

Thursday, 21 March 2019

Woh kisi ko yaad kar ke muskuraya tha udhar..

,

Woh kisi ko yaad kar ke muskuraya tha udhar,
Aur main nadaan yeh samjha ke woh mera hua..

The post Woh kisi ko yaad kar ke muskuraya tha udhar.. appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/2TsRRnG

Monday, 11 March 2019

Utha laya hoon saare khawb apne..

,

Utha laya hoon saare khawb apne,
Teri yaadon ke boseeda makaan se..

The post Utha laya hoon saare khawb apne.. appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/2J6eO01
 

usa blog Copyright © 2011 | Template design by O Pregador | Powered by Blogger Templates