Postagens populares
-
Mana ke teri deed ke qabil nahi hoon main Tu mera shauk daikh, mera intizaar daikh from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, ...
-
Log pouchte hain tum kuch badal gaye ho Btao totay howe patte ab rang bhi na badle from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, ...
-
Batao yaad hai tumko ? Wo jab kahte they ki tum Sirf mere ho ! Submitted By: Ameen Sheikh from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu...
-
Jaagna aur jagaa ke so jana, Raat ko din bana ke so jana, Text karna tamaam raat us ko, Ungliyon ko dabaa ke so jana, Aaj phir dai...
-
Ik hunar hai jo kar gaya hoon main, Sab ke dil se utar gaya hoon main, Kese apni hansi ko zabt karoon, Sun raha hoon ke ghar gaya ho...
-
Do din ki yari hum ko nahi qabool Nafrat kero ya mohabbat hushar tuk kero from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam htt...
-
Ye sooch ker palkon main chupa laita hon aansu Gir ker ye meri aankh se be ghar na ho jay from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, G...
-
Hijr ki shab main qaid kare ya subh -e-visal main rakhe, Acha maula teri marzi tu jis haal main rakhe, Khel yeh kesa khel rahi hai ...
-
Nahi choor sakte hum doosron ke haath main tum ko Laut aao ke hum abhi tuk tumharay hain from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Gh...
-
Tootay howay kaanch ki tarah chakna choor hogiya Kisi ko lag na jaoon isi liyay sub se door hogiya from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry ...
Seguidores
Wednesday, 31 October 2018
Ek mohabbat kaafi hai..
Ek mohabbat kaafi hai,
Baaqi umar izafi hai..
The post Ek mohabbat kaafi hai.. appeared first on Ranjish.com.
from Ranjish.com https://ift.tt/2ze0Voj
Tuesday, 30 October 2018
Monday, 29 October 2018
Ek chehra hai jo ankhon main basa rehta hai..
Ek chehra hai jo ankhon main basa rehta hai,
Ik tasavur hai jo tanha nahin hone deta..
The post Ek chehra hai jo ankhon main basa rehta hai.. appeared first on Ranjish.com.
from Ranjish.com https://ift.tt/2OfYEOT
Yuun bhi bhook miTa sakta hai..
Yuun bhi bhook miTa sakta hai,
Banda miTi kha sakta hai,
Ik luqme ki ujrat kya hai,
Ik mazdoor bata sakta hai,
Ahista se paon rakhna,
Kamra shor macha sakta hai,
MiTi ki khasslat main kya hai,
Yeh iblees bata sakta hai,
Kitni dair ik bhenss ke aage,
Banda been baja sakta hai,
Jibrael se aage aami,
Ishq musafir ja sakta hai..
The post Yuun bhi bhook miTa sakta hai.. appeared first on Ranjish.com.
from Ranjish.com https://ift.tt/2JoWECS
Jeene ko kherani paida karta hoon..
Jeene ko kherani paida karta hoon,
Khamoshi se maani paida karta hoon,
Tum ko kya maloom ke kitni mushkil se,
Thori si aasaani paida karta hoon,
Shaam Dhale main sahil par jata hoon aur,
Maujon main tughyani paida karta hoon,
Aksar shair ko Dhakta hoon main lafzon se,
Kabhi kabhi uryaani paida karta hoon,
Paon banata hoon aur phir main in ke liye,
Raah koi anjaani paida karta hoon..
The post Jeene ko kherani paida karta hoon.. appeared first on Ranjish.com.
from Ranjish.com https://ift.tt/2qfuQbk
Aur phir mohabbat main jee ke mar ke dekha hai..
Aur phir mohabbat main jee ke mar ke dekha hai
Log sochte hain jo, hum ne kar ke dekha hai
The post Aur phir mohabbat main jee ke mar ke dekha hai.. appeared first on Ranjish.com.
from Ranjish.com https://ift.tt/2zaRmX2
Tumhare sath gayi jo khushi, nahin ayi..
Tumhare sath gayi jo khushi, nahin ayi,
Phir us ke baad labon par hansi nahin ayi,
BichaRrte waqt bohat zaam tha usse khud par,
Meri abhi ankh main bilkul nami nahin ayi..
The post Tumhare sath gayi jo khushi, nahin ayi.. appeared first on Ranjish.com.
from Ranjish.com https://ift.tt/2qd8ebI
Khud banaon gi teri duniya main..
Khud banaon gi teri duniya main,
Us main apni kami banaon gi..
The post Khud banaon gi teri duniya main.. appeared first on Ranjish.com.
from Ranjish.com https://ift.tt/2PqTxzX
Do ghaRri us se raho door to yun lagta hai..
Do ghaRri us se raho door to yun lagta hai,
Jis tarah saya-e-dewar se dewar juda..
The post Do ghaRri us se raho door to yun lagta hai.. appeared first on Ranjish.com.
from Ranjish.com https://ift.tt/2z8r33O
Sunday, 28 October 2018
Mohabbat kis ko kehte hain, adavat kis ko kehte hain..
Mohabbat kis ko kehte hain, adawat kis ko kehte hain,
BichaRr kar tum se jana hai, qayamat kis ko kehte hain,
Isi zid main utri hoon, qayamat–khez lehron main,
Ke dekhoon gi mohabbat main karamat kis ko kehte hain,
Zamana puchta kuch hai, bata doon aur hi kuch main,
Tumhi se maine seekha hai wazahat kis ko kehte hain,
Abhi khamosh bethi hoon magar main waqt paRrne par,
Zamane ko bata doon gi baghawat kis ko kehte hain,
Hazaron dard seh kar bhi yeh dete hain duaa sab ko,
Ke ehl-e-ishq se seekho, sakhawat kis ko kehte hain..
The post Mohabbat kis ko kehte hain, adavat kis ko kehte hain.. appeared first on Ranjish.com.
from Ranjish.com https://ift.tt/2CNdoTl
Ajab asbab karta ja raha hoon..
Ajab asbab karta ja raha hoon,
Lahu seemab karta ja raha hoon,
Main apni mauj main ik raqss-e-digar,
Sar-e-girdab karta ja raha hoon,
Azal se jagti ankhon jahan main,
Basar ik khawb karta ja raha hoon,
Sar-e-mizhgan ubharta hai jo tara,
Usse mahtab karta ja raha hoon,
Jo dil ik umar se banjar paRre they,
Unhen sairab karta ja raha hoon,
Main rah-e-shauq ki har kankari ko,
Dur-e-nayab karta ja raha hoon,
Woh ejaz-e-sukhan bakhsha hai us ne,
ChaTtanen aab karta ja raha hoon..
The post Ajab asbab karta ja raha hoon.. appeared first on Ranjish.com.
from Ranjish.com https://ift.tt/2qdUaOX
Woh Pani Ki Lehron Pe Kiya Likh Raha Tha
Woh pani ki lehron pe kiya likh raha tha
Khuda jane herf-e-dua likh raha tha
Likha tha wafa ka mani adhoora
Woh shaksh piyar ki inteha likh raha tha
Zara is ki aankh se aanso na nikle
Woh jis waqt lafz saza likh raha tha
Mohabbat main nafrut mili thi isay bhi
Woh her shakhs ko be wafa likh raha tha
from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam https://ift.tt/2OWjSGA
Din bhar to main duniya ke dhandhon main khoya raha..
Din bhar to main duniya ke dhandhon main khoya raha,
Jab deewaron se dhoop Dhalli tum yaad aye..
The post Din bhar to main duniya ke dhandhon main khoya raha.. appeared first on Ranjish.com.
from Ranjish.com https://ift.tt/2yD44OV
Saturday, 27 October 2018
Dil thaam ke karwaTt pe liye jaon hoon karwaTt..
Dil thaam ke karwaTt pe liye jaon hoon karwaTt,
Woh aag lagi hai ke bujhaye na bane hai..
The post Dil thaam ke karwaTt pe liye jaon hoon karwaTt.. appeared first on Ranjish.com.
from Ranjish.com https://ift.tt/2CM4p4u
Friday, 26 October 2018
Thursday, 25 October 2018
Dil pe aaye huye ilzam se pehchante hain..
Dil pe aaye huye ilzam se pehchante hain,
Log ab mujh ko tere naam se pehchante hain..
The post Dil pe aaye huye ilzam se pehchante hain.. appeared first on Ranjish.com.
from Ranjish.com https://ift.tt/2O6oO6z
Dil mohabbat se bhar gaya bekhud..
Dil mohabbat se bhar gaya bekhud,
Ab kisi par fida nahin hota..
The post Dil mohabbat se bhar gaya bekhud.. appeared first on Ranjish.com.
from Ranjish.com https://ift.tt/2OOgxti
Wednesday, 24 October 2018
Jab bhi aangan main tere chand nikla hoga..
Jab bhi aangan main tere chand nikla hoga,
Mere baare main kabhi tu ne socha hoga,
Mashwra hai ke kisi aik se mukhlis rehna,
Jaane wale yeh tumhare liye acha hoga,
Us ne phoolon ki numayesh main kahan jana hai,
Muskurate huye jis ne tujhe dekha hoga,
Mudatton baad guzarna hai tere gaon se,
Mudatton baad kisi baat pe rona hoga,
Meri zulfon ko bikharne se bacha le warna,
Dekh ae shakhs tujhe sara bichaRrna hoga,
Tujh ko Tehmina yeh ik baat samajhna hogi,
Ishq karna hai to ik roz bichaRrna hoga..
The post Jab bhi aangan main tere chand nikla hoga.. appeared first on Ranjish.com.
from Ranjish.com https://ift.tt/2O8EyWQ
Tera chup rehna mere zehen main kya beth gaya..
Tera chup rehna mere zehen main kya beth gaya,
Itni awazen tujhe di ke gala beth gaya,
Yun nahin hai ke faqat main hi usse chahta hoon,
Jo bhi us paiRr ki chaon main gaya beth gaya,
Itna meetha tha woh ghusse bhara lehja mat puch,
Us ne jis ko bhi jaane ka kaha beth gaya,
Apna laRrna bhi mohabbat hai tumhen ilm nahin,
Cheekhti tum rahi aur mera gala beth gaya,
Us ki marzi woh jise paas bitha le apne,
Is pe kya laRrna falaan meri jagah beth gaya,
Baat dariyaon ki suraj ki na teri hai yahan,
Do qadam jo bhi mere sath chala beth gaya,
Bazm-e-janan main nashistain nahin hoti makhsus,
Jo bhi ik baar jahan beth gaya, beth gaya..
The post Tera chup rehna mere zehen main kya beth gaya.. appeared first on Ranjish.com.
from Ranjish.com https://ift.tt/2PZiIGE
Dil main na ho jurat to mohabbat nahin milti..
Dil main na ho jurat to mohabbat nahin milti,
Khairaat main itni baRri daulat nahin milti..
The post Dil main na ho jurat to mohabbat nahin milti.. appeared first on Ranjish.com.
from Ranjish.com https://ift.tt/2Rb9IOV
Tuesday, 23 October 2018
Dekhne ke liye sara aalam bhi kam..
Dekhne ke liye sara aalam bhi kam,
Chahne ke liye ek chehra bohat..
The post Dekhne ke liye sara aalam bhi kam.. appeared first on Ranjish.com.
from Ranjish.com https://ift.tt/2OK28Os
Monday, 22 October 2018
Teri ankhon se ubharte huye alfaz paRrhe..
Teri ankhon se ubharte huye alfaz paRrhe,
Koi mafhoom nikaalon ke nahin ?
Aur phir saare jahan to bata doon tu ne,
Dil main ulfat ke charaghon ko jalaya hai magar,
Khauf hai un ko bhuja de na koi,
Meri peshani par ubhri hui tehreer paRrho,
Yun zamane ke sitam se na Ddaro..
The post Teri ankhon se ubharte huye alfaz paRrhe.. appeared first on Ranjish.com.
from Ranjish.com https://ift.tt/2S9JCgA
Baat aesi bhi nahin thi ke nikalte aansu..
Baat aesi bhi nahin thi ke nikalte aansu,
Waqiya aesa nahin tha ke bhulaya jata..
The post Baat aesi bhi nahin thi ke nikalte aansu.. appeared first on Ranjish.com.
from Ranjish.com https://ift.tt/2yVFmss
Bhala admi tha par nadan nikla..
Bhala admi tha par nadan nikla,
Suna hai kisi se mohabbat kare hai..
The post Bhala admi tha par nadan nikla.. appeared first on Ranjish.com.
from Ranjish.com https://ift.tt/2CwAZHu
Sunday, 21 October 2018
Bas ek hi balaa hai mohabbat kahen jise..
Bas ek hi balaa hai mohabbat kahen jise,
Woh paniyon main aag lagati hai aaj bhi..
The post Bas ek hi balaa hai mohabbat kahen jise.. appeared first on Ranjish.com.
from Ranjish.com https://ift.tt/2NR8PsU
Saturday, 20 October 2018
Aa Ke Patthar To Mere Sehan Mein Do Chaar Gire – Shakeb Jalali
Shakeb Jalali Ghazal : Aa Ke Patthar Toh Mere Sehan Mein Do Chaar Gire Aa ke patthar toh mere sehan mein do chaar gire, jitne us ped ke phal the pas-e deewaar gire. Aisi dahshat thi fazaaon mein khule paani ki, aankh jhapki bhi nahin haath se patwaar gire. Mujhe girna hai toh main apne hi …
The post Aa Ke Patthar To Mere Sehan Mein Do Chaar Gire – Shakeb Jalali appeared first on Poetry One- All in One Best Poetry in Urdu, Hindi, English World.
from Poetry One- All in One Best Poetry in Urdu, Hindi, English World https://ift.tt/2EC3iHk
Agar Chaman Ka Koi Dar Khula Bhi Mere Liye..
Poet Name: Mohsin Zaidi
Ghazal: Agar Chaman Ka Koi Dar Khula Bhi Mere Liye
Poetry Category: Urdu Ghazals
The post Agar Chaman Ka Koi Dar Khula Bhi Mere Liye.. appeared first on Poetry One- All in One Best Poetry in Urdu, Hindi, English World.
from Poetry One- All in One Best Poetry in Urdu, Hindi, English World https://ift.tt/2P9rnJG
Friday, 19 October 2018
Aziyat museebat malamat balayen..
Aziyat museebat malamat balayen,
Tere ishq main hum ne kya kya na dekha..
The post Aziyat museebat malamat balayen.. appeared first on Ranjish.com.
from Ranjish.com https://ift.tt/2EG3FAu
Thursday, 18 October 2018
Aqal ko tanqeed se fursat nahin..
Aqal ko tanqeed se fursat nahin,
Ishq par aamaal ki bunyaad rakhe..
The post Aqal ko tanqeed se fursat nahin.. appeared first on Ranjish.com.
from Ranjish.com https://ift.tt/2P62UoE
Wednesday, 17 October 2018
Ab Tu Kuch Aur Andaaz Se Lubhane Lagay
from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam https://ift.tt/2QWKWSO
Bethe hain chain se kahin jana to nahin hai..
Bethe hain chain se kahin jana to hai nahin,
Hum be-gharon ka koi thikana to hai nahin,
Tum bhi ho beete waqt ke manind hu-ba-hu,
Tum ne bhi yaad aana hai, aana to hai nahin,
Ehd-e-wafa se kis liye khaif ho meri jaan,
Kar lo ke tum ne ehd nibhana to hai nahin,
Woh jo humen aziz hai kesa hai kaun hai,
Kyun puchte ho hum ne batana to hai nahin,
Duniya hum ehl-e-ishq pe kyun phenkti hai jaal,
Hum ne tere faraib main aana to hai nahin,
Koshish karen to laut hi aye ga ek din,
Woh aadmi hai guzra zamana to hai nahin,
Woh ishq to kare ga magar dekh-bhaal ke,
Faris woh tere jaisa deewana to hai nahin..
The post Bethe hain chain se kahin jana to nahin hai.. appeared first on Ranjish.com.
from Ranjish.com https://ift.tt/2yK1eXB
Tuesday, 16 October 2018
Paraayi neend main sone ka tajurba kar ke..
Paraayi neend main sone ka tajurba kar ke,
Main khush nahin hoon tujhe khud main mubtila kar ke,
Yeh kyun kaha ke tujhe mujhse pyar ho jaye,
TaRrap utha hoon tere haq main baddua kar ke,
Main jootiyon main bhi betha hoon puray maan ke sath,
Kisi ne mujh ko bulaya hai iltijaa kar ke,
To phir woh rote huye manatain bhi maante hain,
Jo intiha nahin karte hain ibtidaa kar ke,
Bashar samajh kar kiya tha na yun mujhe nazar–andaz,
Le main bhi chorr raha hoon tujhe khuda kar ke,
Mana bhi loon ga, galay bhi lagaon main Ali,
Abhi to dekh raha hoon use khafa kar ke..
The post Paraayi neend main sone ka tajurba kar ke.. appeared first on Ranjish.com.
from Ranjish.com https://ift.tt/2NJQDBB
Apni tabahiyon ka mujhe koi gham nahin..
Apni tabahiyon ka mujhe koi gham nahin,
Tum ne kisi ke sath mohabbat nibha to di..
The post Apni tabahiyon ka mujhe koi gham nahin.. appeared first on Ranjish.com.
from Ranjish.com https://ift.tt/2J0B5sb