Saturday, 29 September 2018

Mujhay Bhool Jane Ka Dawa Apni Jaga

,
Mujhay Bhool Jane Ka Dawa Apni Jaga

Mujhay bhool jane ka dawa apni jaga
Meray naam per tera choonkna acha laga


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam https://ift.tt/2R9Jo8S

Kub Bhulaye Jatay Hain Doost Juda Hoker Bhi Wasi

,
Kub Bhulaye Jatay Hain Doost Juda Hoker Bhi Wasi

Kub bhulaye jatay hain doost juda hoker bhi Wasi
Dil toot tu jata hay, rehta phir bhi seenay main hay


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam https://ift.tt/2QgKuhK

Sub Mujhay He Kehte Hain Ke Usay Bhool Ja

,
Sub Mujhay He Kehte Hain Ke Usay Bhool Ja

Sub mujhay he kehte hain ke usay bhool ja
Koi usay kiyon nahi kehta ke wo mera hojay


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam https://ift.tt/2xIaFag

Ander Aisa Hubs Tha, Main Ne Khool Diya Darwaza

,
Ander Aisa Hubs Tha, Main Ne Khool Diya Darwaza

Ander aisa hubs tha, main ne khool diya darwaza
Jis ne dil se jana hay wo khamooshi se jay


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam https://ift.tt/2DNHRCy

Friday, 28 September 2018

Zabt Bhi Sabar Bhi Imkaan Main Sub Kuch

,
Zabt Bhi Sabar Bhi Imkaan Main Sub Kuch

Zabt bhi sabar bhi imkaan main sub kuch hay magar
Pehlay kum bakht mera dil tu mera dil ho jay


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam https://ift.tt/2xVVXvv

Apne Halaat Se Yon Lagta Hay

,
Apne halaat se yon lagta hay

Apne halaat se yon lagta hay
Badduaoon ka samna hay mujhay


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam https://ift.tt/2Ol24UC

Aashiqi main bohat zaroori hai..

,

Aashiqi main bohat zaroori hai,
Bewafayi kabhi kabhi karna..

The post Aashiqi main bohat zaroori hai.. appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/2R7g5DJ

Ye Alag Baat Hay Zahir Na Hosaka Tujh Per

,
Ye Alag Baat Hay Zahir Na Hosaka Tujh Per

Ye alag baat hay zahir na hosaka tujh per
Kitna mehsoos kiya main ne tujhay teray baad


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam https://ift.tt/2NJEhhD

Teri Roh Ki Sadgi, Tere Mizaj Ki Ajzi

,
Teri Roh Ki Sadgi, Tere Mizaj Ki Ajzi

Teri roh ki sadgi, tere mizaj ki ajzi se piyar hay
Warna husn tu azl se bikta raha hay..misr ke bazaar main


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam https://ift.tt/2OgerBi

Aarzu hai ke tu yahan aye..

,

Aarzu hai ke tu yahan aye,
Aur phir umar bhar na jaye kahin..

The post Aarzu hai ke tu yahan aye.. appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/2xVxiaG

Thursday, 27 September 2018

Mujhay Acha Nahi Lagta Kisi Ka Muntazir

,
Mujhay Acha Nahi Lagta Kisi Ka Muntazir

Mujhay acha nahi lagta kisi ka muntazir rehna
Magar wo khoobsurat hay usay takheer ka huq hay


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam https://ift.tt/2zAdI5W

Sulagte Raho Gay Ab Tum Umar Bher

,
Sulagte Raho Gay Ab Tum Umar Bher

Sulagte raho gay ab tum umar bher
Mujhay paa ker bhi kho diya tum ne


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam https://ift.tt/2DBlDE2

Subah Phir Dair Se Uthay Gi Woh

,
Subah Phir Dair Se Uthay Gi Woh

Subah phir dair se uthay gi woh
Raat bher mujhko ro lya hoga


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam https://ift.tt/2ImTnUf

Tera Her Andaaz Acha Hay

,
Tera Her Andaaz Acha Hay

Tera her andaaz acha hay
Siwae nazar andaaz kerne ke


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam https://ift.tt/2NMekOs

Wednesday, 26 September 2018

Jo Tu Nahi Hai To Yeh

,
Jo Tu Nahi Hai To Yeh

Jo tu nahi hai to yeh mukammil na ho sake gi
Teri yahi ahmiyat hai meri kahanion main



from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam https://ift.tt/2In8ywV

Woh Jesey Nind Kaha Karte Hain

,
Woh Jesey Nind Kaha Karte Hain

Woh jesey nind kaha karte hain sub chain ki nind
Woh tere bad kabhi ankh main utri hi nahi



from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam https://ift.tt/2OR7Wlz

Jitni Duaen Aati Then

,
Jitni Duaen Aati Then

Jitni duaen aati then
Sub mang lin hum ne
Jitne wazify yad thy sare
Ker bathy hain
Kaeyi tarha se je dekha hai
kaeyi tarha se merr batthy hain
Lakin jana
Kise bhi soorat 
Tum mere ho ker nahi dete


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam https://ift.tt/2xQzr7k

Tuesday, 25 September 2018

Bhool Jana To Rasm-e-Dunya Hai

,
Bhool Jana To Rasm-e-Dunya Hai

Bhool jana to rasm-e-dunya hai wasi
Tum ne bhula ker konsa kamal ker dia



from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam https://ift.tt/2Obcq9r

Aap daulat ke tarazu main dilon ko taulen..

,

Aap daulat ke tarazu main dilon ko taulen,
Hum mohabbat se mohabbat ka sila dete hain..

The post Aap daulat ke tarazu main dilon ko taulen.. appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/2N2GfED

Badal Jati Hay Zindagi Ki Sachai Us Waqt

,
Badal Jati Hay Zindagi Ki Sachai Us Waqt

Badal jati hay zindagi ki sachai us waqt
Jub tumhara tumharay samne tumhara nahin rehta


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam https://ift.tt/2IezUFa

Tum Se He Thi Meri Zindagi Lakin

,
Tum Se He Thi Meri Zindagi Lakin

Tum se he thi meri zindagi lakin ye kiya howa
Tum bin bhi main ji rahi hoon main bhi kaisi hon be wafa


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam https://ift.tt/2Q2DAMU

Hum He Wafa Shikn Thay Chalo Hum Hi

,
Hum He Wafa Shikn Thay Chalo Hum Hi

Hum he wafa shikn thay chalo hum hi be wafa
Tum tu wafa shanaas thay tum kiyon badal gye


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam https://ift.tt/2O7Fq1Y

Chala Giya Chaand Daikho So Gye Saray

,
Chala Giya Chaand Daikho So Gye Saray

Chala giya chaand daikho so gye saray sitaray bhi
Ab tu ajaoo ae neend, adhoorey hain kuch khuwaab humaray bhi


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam https://ift.tt/2Q2DuVy

Monday, 24 September 2018

Aansuon Se Aqeedat Yonhi Tu Nahi Mujh Ko

,
Aansuon Se Aqeedat Yonhi Tu Nahi Mujh Ko

Aansuon se aqeedat yonhi tu nahi mujh ko
Yehi saath nibhate hain jub koi nahi hota


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam https://ift.tt/2QV4W9a

Aap Ne Keh DIYA Jise Apna

,
Aap Ne Keh DIYA Jise Apna

Aap ne keh diya jise apna
Wo tu sunte he mer giya hoga!


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam https://ift.tt/2NBpkOC

Kiya Khaak Taraqi Ki Aaj Ki Dunya Ne

,
Kiya Khaak Taraqi Ki Aaj Ki Dunya Ne

Kiya khaak taraqi ki aaj ki dunya ne
Mareez-e-ishq tu aaj bhi la ilaaj baithay hain


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam https://ift.tt/2NBak31

Mujhay Ishq De Apni Zaat Ka

,
Mujhay Ishq De Apni Zaat Ka

Mujhay ishq de apni zaat ka
Mujhay kun se apny nawaz de


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam https://ift.tt/2zpS8AJ

Aaj tabassum sab ke lab par..

,

Aaj tabassum sab ke lab par,
Afsaane hain tere mere..

The post Aaj tabassum sab ke lab par.. appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/2NAtar1

Aghaz-e-mohabbat ka anjam bas itna hai..

,

Aghaz-e-mohabbat ka anjam bas itna hai,
Jab dil main tamanna thi, ab dil hi tamanna hai..

The post Aghaz-e-mohabbat ka anjam bas itna hai.. appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/2DrFNjx

Ghair ki baaton ka akhir aitbar aa hi gaya..

,

Ghair ki baaton ka akhir aitbar aa hi gaya,
Meri janib se tere dil mein ghubar aa hi gaya,

Janta tha kha raha ha bewafa jhoothi qasam,
Sadgi dekho ke phir bhi aetibar aa hi gaya,

Tu nahi aaya wafadushman to kya hum mar gaye,
Chand din tarpa kiye magar akhir qarar aa hi gaya,

Dil main tha ae hashar unse na bolain gaye kabhi,
Bewafa jab samne aya to pyar aa hi gaya..

The post Ghair ki baaton ka akhir aitbar aa hi gaya.. appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/2NAswK7

Saturday, 22 September 2018

Kabhi Parth To Sahi Meri Ankhon Ko

,
Kabhi Parth To Sahi Meri Ankhon Ko

Kabhi pardh to sahi meri ankhon ko
Yahan darya bahta hai teri mohabbat ka



from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam https://ift.tt/2QQUtLG

Baray Shauq Se Mar Jaoun Ga

,
Baray Shauq Se Mar Jaoun Ga

Baray shauq se mar jaoun ga mager shart ye hai
Tum samne baith ker sanso ka tot taa tasalsul dekho



from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam https://ift.tt/2QLx3Ya

Tum Ko Shayad Na Aitbar Aye

,
Tum Ko Shayad Na Aitbar Aye

Tum ko shayad na aitbar aye
Main ne such much bhola dia hai tumhe



from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam https://ift.tt/2OH5LAM

Mana Ke Hum Hain Ujray Howe

,
Mana Ke Hum Hain Ujray Howe

Mana ke hum hain ujray howe shaher ki misaal
Ankhain bta rahi hain ke weran tum bhi ho


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam https://ift.tt/2DkYeqf

Friday, 21 September 2018

Hunsi Ko Apni Sun Ke Ik Bar Main Bhi

,
Hunsi Ko Apni Sun Ke Ik Bar Main Bhi

Hunsi ko apni sun ke ik bar main bhi chaunk utthi
Ye mujh main dukh chupane ka kamal kisay a giya


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam https://ift.tt/2PVRgJE

Uska Milna He Muqaddar Main Nahi Tha Warna

,
Uska Milna He Muqaddar Main Nahi Tha Warna

Uska milna he muqaddar main nahi tha warna
Hum ne kiya kuch nahi khoya usay panay ke liyay


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam https://ift.tt/2MRcUwE

Aadmi jaan ke khata hai mohabbat main faraib..

,

Aadmi jaan ke khata hai mohabbat main faraib,
Khud-faraibi hi mohabbat ka sila ho jese..

The post Aadmi jaan ke khata hai mohabbat main faraib.. appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/2OCGVSC

Ik hunar hai jo kar gaya hoon main..

,

Ik hunar hai jo kar gaya hoon main,
Sab ke dil se utar gaya hoon main,

Kese apni hansi ko zabt karoon,
Sun raha hoon ke ghar gaya hoon main,

Kya bataon ke mar nahin pata,
Jeete-jee jab se mar gaya hoon main,

Ab hai bas apna samna darpesh,
Har kisi se guzar gaya hoon main,

Wohi naz-o-ada wohi ghamze,
Sar-ba-sar aap par gaya hoon main,

Ajab ilzam hoon zamane ka,
Ke yahan sab ke sar gaya hoon main,

Kabhi khud tak pohanch nahin paya,
Jab ke vaan umar bhar gaya hoon main,

Tum se janan mila hoon jis din se,
Be-tarah khud se dar gaya hoon main,

Ku-e-janan main shor barpa hai,
Ki achanak sudhar gaya hoon main..

The post Ik hunar hai jo kar gaya hoon main.. appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/2NZ5dZY

Aablon ka shikwa kya thokron ka gham kesa..

,

Aablon ka shikwa kya thokron ka gham kesa,
Aadmi mohabbat main sab ko bhool jata hai..

The post Aablon ka shikwa kya thokron ka gham kesa.. appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/2OHxMrZ

Bohat dushwar thi rah-e-mohabbat..

,

Bohat dushwar thi rah-e-mohabbat,
Hamara sath dete humsafar kya..

The post Bohat dushwar thi rah-e-mohabbat.. appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/2NZ5a0e

Yahan Kisi Ko Kuch Bhi Husb-E-Aarzo Na Mila

,
Yahan Kisi Ko Kuch Bhi Husb-E-Aarzo Na Mila

Yahan kisi ko kuch bhi husb-e-aarzo na mila
Kisi ko hum na milay aur hum ko tu na mila


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam https://ift.tt/2O0Mjll

Mana Ke Teri Deed Ke Qabil Nahi Hoon Main

,
Mana Ke Teri Deed Ke Qabil Nahi Hoon Main

Mana ke teri deed ke qabil nahi hoon main
Tu mera shauk daikh, mera intizaar daikh


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam https://ift.tt/2xHAJS0

Thursday, 20 September 2018

Mujhay Perho Tu Zara Ehtiyat Se Perhna

,
Mujhay Perho Tu Zara Ehtiyat Se Perhna

Mujhay perho tu zara ehtiyat se perhna
Khud apni zaat main bikhri howi kitaab hon main


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam https://ift.tt/2QL2FNF

Zara Si Baat Per Tanha Chor Jatay Hain

,
Zara Si Baat Per Tanha Chor Jatay Hain

Zara si baat per tanha chor jatay hain
Mohabbat kerkay logon se sanbhali kiyon nahi jati


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam https://ift.tt/2O3lzRy

Berbad Kerna Tha Tu Kisi Aur Tareeqay Se

,
Berbad Kerna Tha Tu Kisi Aur Tareeqay Se

Berbad kerna tha tu kisi aur tareeqay se kertay
Zindagi ban ker zindagi he cheen li tum ne


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam https://ift.tt/2NWvNmu

Mohabbat Haath Main Pehni Hoi Chori Ki

,
Mohabbat haath main pehni hoi chori ki

Mohabbat haath main pehni hoi chori ki manand hay
Sanwarti hay, khanakti hay, khanak ker toot jati hay


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam https://ift.tt/2po093i

Acha maula teri marzi tu jis haal main rakhe..

,

Hijr ki shab main qaid kare ya subh-e-visal main rakhe,
Acha maula teri marzi tu jis haal main rakhe,

Khel yeh kesa khel rahi hai dil se teri mohabbat,
Ik pal ki sarshari de aur dinon malal main rakhe,

Maine sari khushbuyen anchal se bandh ke rakhin,
Shayed in ka zikr tu apne kisi sawal main rakhe,

Kis se tere ane ki sargoshi ko sunte hi,
Maine kitne phool chune aur apni shal main rakhe,

Mushkil ban kar toot parri hai dil par yeh tanhai,
Ab jane yeh kab tak is ko apne jaal main rakhe..

The post Acha maula teri marzi tu jis haal main rakhe.. appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/2PNDAAn

Wednesday, 19 September 2018

Ankhen jo uthaye to mohabbat ka gumaan ho..

,

Ankhen jo uthaye to mohabbat ka gumaan ho,
Nazron ko jhukaye to shikayat si lage hai..

The post Ankhen jo uthaye to mohabbat ka gumaan ho.. appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/2PPL1H9

Ab teri yaad se wehshat nahin hoti mujh ko..

,

Ab teri yaad se wehshat nahin hoti mujh ko,
Zakham khulte hain aziyat nahin hoti mujh ko,

Ab koi aye chala jaye main khush rehta hoon,
Ab kisi shakhss ki aadat nahin hoti mujh ko,

Aesa badla hoon tere shehr ka paani pee kar,
Jhoot boloon to nadamat nahin hoti mujh ko,

Hai amaanat main khayanat so kisi ki khatir,
Koi marta hai to hairat nahin hoti mujh ko,

Itna masroof hoon jeene ki havass main mohsin,
Saans lene ki bhi fursat nahin hoti mujh ko..

The post Ab teri yaad se wehshat nahin hoti mujh ko.. appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/2xosgDX

Khuwabon Main Jo Lutf Tha Wo Ab Nahi Raha

,
Khuwabon Main Jo Lutf Tha Wo Ab Nahi Raha

Khuwabon main jo lutf tha wo ab nahi raha
Laut aao ke meri neend ko zaroorat hay tumhari


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam https://ift.tt/2xp8c4u

Hmain Herat Se Mat Daikho Ab

,
Hmain Herat Se Mat Daikho Ab

Hmain herat se mat daikho ab aisa kiya kiya hum ne
Zameeni ishq hay sahab dobara ho bhi sakta hay


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam https://ift.tt/2POfFRm

Tajurba Aik He, Ibrat Ke Liyey Kafi Tha

,
Tajurba Aik He, Ibrat Ke Liyey Kafi Tha

Tajurba aik he, ibrat ke liyey kafi tha
Main ne daikha hi nahi ishq dobara ker ke


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam https://ift.tt/2xp830W

Be Noor Si Lagti Hay Us Se Bichar Ke

,
Be Noor Si Lagti Hay Us Se Bichar Ke

Be noor si lagti hay us se bichar ke ye zindagi
Zaid, ab charaag tu jalte hain magar ujala nahi kertay


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam https://ift.tt/2PLEo8X

Tuesday, 18 September 2018

Bohat dinon main mohabbat ko yeh hua maloom..

,

Bohat dinon main mohabbat ko yeh hua maloom,
Jo tere hijr main guzri woh raat raat huyi..

The post Bohat dinon main mohabbat ko yeh hua maloom.. appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/2MD8nOp

Bus Mohabbat Hum Ko Us Se Honi Thi

,
Bus Mohabbat Hum Ko Us Se Honi Thi

Bus mohabbat hum ko us se honi thi so hogye
Ab naseehat chorye saath deejye aur dua keejye


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam https://ift.tt/2D5qc9q

Wo Be Wafa Na Tha Yonhi Badnaam Hogiya

,

Wo be wafa na tha yonhi badnaam hogiya
Hazaron chahne walay thay kis kis se wafa kerta


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam https://ift.tt/2xsYVrc

Mujh Se Her Bar Wo Nazrain Chura Leta Hay

,
Mujh Se Her Bar Wo Nazrain Chura Leta Hay

Mujh se her bar wo nazrain chura leta hay Faraz
Main ne kagaz per bhi bana ke daikhi hain aankhain uske



from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam https://ift.tt/2xrOLHn

Silsilay Tor Giya Wo Sabhi Jate Jate

,
Silsilay Tor Giya Wo Sabhi Jate Jate

Silsilay tor giya wo sabhi jate jate
Warna itne tu mrasim thay aate jate
Shikwa zulmat-e-shub se tu kahin behter tha
Apne hisse ki koi shama jalate jate
Kitna asaan tha teray hijr main merna janan
Phir bhi ik umar lagi jaan se jate jate
Is ki wo janay usay wafa thi ke na thi
Tum Faraz apni taraf se tu nibhate jate


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam https://ift.tt/2D5Fc72

Monday, 17 September 2018

Tujh Ko Nahi Ehsas Ke Ae Dil Teri Khatir

,
Tujh Ko Nahi Ehsas Ke Ae Dil Teri Khatir

Tujh ko nahi ehsas ke ae dil teri khatir
Ik shakhs barday kaam ka bekaar howa hay


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam https://ift.tt/2xnWJkY

Meray Mutlab Ka Shakhs Tha Wo

,
Meray Mutlab Ka Shakhs Tha Wo

Meray mutlab ka shakhs tha wo
Afsoos ke matlabi nikla


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam https://ift.tt/2xhjI1B

Luta Ker Her Cheez Munzl-E-Ishq Ki Rah Main

,
Luta Ker Her Cheez Munzl-E-Ishq Ki Rah Main

Luta ker her cheez munzl-e-ishq ki rah main
Hum huns peray hain aaj khud ko berbad daikh ker


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam https://ift.tt/2Ot78mw

Jane Kitne He Khuwab Dafna Chuka Hon

,
Jane Kitne He Khuwab Dafna Chuka Hon

Jane kitne he khuwab dafna chuka hon is dil main
Ab tu lagta hay jaise khud he qabristan hon main


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam https://ift.tt/2xnQqh7

Saturday, 15 September 2018

Rang Bharta Tha Teray Qurb Ka Mausam

,
Rang Bharta Tha Teray Qurb Ka Mausam

Rang bharta tha teray qurb ka mausam jin main
Haye wo din bhi ajab aab-wo-hawa rakhtay thay


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam https://ift.tt/2p7EOeq

Bohat Roka Dil Ko Magar Kahan Tuk Rokta

,
Bohat Roka Dil Ko Magar Kahan Tuk Rokta

Bohat roka dil ko magar kahan tuk rokta
Mohabbat barhti gye, tumharay nakhroon ki tarah


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam https://ift.tt/2CYpOct
 

usa blog Copyright © 2011 | Template design by O Pregador | Powered by Blogger Templates