Friday, 30 March 2018

Suno aesa nahin karte..

,

Suno aesa nahin karte,
Safar tanha nahin karte,

Jisse shafaaf rakhna ho,
Usse maila nahin karte,

Teri ankhen ijazat dain,
To hum kya nahin karte,

Bohat ujrre huye ghar ko,
Bohat socha nahin karte,

Safar jis ka muqaddar ho,
Usse roka nahin karte,

Jo mil kar khud se kho jaye,
Usse ruswa nahin karte,

Yeh unche paiRr kaise hain,
Yeh saaya nahin karte,

Kabhi hasne se darte hain,
Kabhi roya nahin karte,

Teri ankhon ko paRrhte hain,
Tujhe nahin dekha nahin karte,

Chalo, tum raaz ho apna,
Tumhe afshaa nahin karte,

Sehar se puch lo mohsin,
Hum soya nahin karte..

The post Suno aesa nahin karte.. appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/2pXh8uj

Wednesday, 28 March 2018

Ek Main Hi Nahi Duniya Ujri Hai Meri

,
Ek Main Hi Nahi Duniya Ujri Hai Meri
Shararton Se Tanhai Ka Safar Yun Tay Nahi Hua...

Ek Main Hi


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam https://ift.tt/2GjnBcQ

Ginti To Nahi Yaad Magar Yaad Hai Itna

,
Ginti To Nahi Yaad Magar Yaad Hai Itna
Sub Zakhm Baharon K Zamany Me Lage Hain...

Ginti To Nahi


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam https://ift.tt/2Id8COp

Monday, 26 March 2018

Ab woh galiyan woh makaan yaad naheen..

,

Ab woh galiyan woh makaan yaad naheen,
Kaun rehta tha kahan yaad naheen,

Jalva-e-husn-e-azal thay woh dayar,
Jin ke ab nam-o-nishan yaad naheen,

Koi ulja sa bhala sa ghar tha,
Kis ko dekha tha wahan yaad naheen,

Yaad hai zina-e-pechan us ka,
Dar-o-deevar-e-makaan yaad naheen,

Yaad hai zamzama-e-saz-e-bahar,
Shor-e-awaz-e-khizan yaad naheen..

The post Ab woh galiyan woh makaan yaad naheen.. appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/2umhZt4

Raat ankhon main dhali, palkon pe jugnu aye..

,

Raat ankhon main dhali, palkon pe jugnu aye,
Hum hawaon ki tarah ja ke usse chhuu aye,

Us ka dil, dil nahin pathar ka kaleja hoga,
Jis ko phoolon ka hunar, aansu ka jadu aye,

Buss gayi hai mere ehsas main yeh kesi mehak,
Koi khushbu main lagaon, teri khushbu aye,

Khoobsurat hain bohat duniya ke jhoote waade,
Phool kaghaz ke liye kanch ke bazu aye,

Us ne chhuu kar mujhe pathar se phir insan kiya,
Mudaton baad meri ankhon main aansuu aye..

The post Raat ankhon main dhali, palkon pe jugnu aye.. appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/2ITkLZV

Saturday, 24 March 2018

Bohat mushkil safar hai baba..

,

Na ham-nafas hai, na humsafar hai baba,
Yeh makaan ab darbadar hai baba,

Na din main chand dooba, na raat main suraj nikla,
Yaani meri har dua be-assar hai baba,

Yeh mera inaam hai, ya saza hai meri,
Mera marz hi mera charagar hai baba,

Inhe apni ainak to zara khairaat kijiye,
Zamana bohat tang-nazzar hai baba,

Yeh kuch log maseeha kyun bane phirte hain,
Jab inhe kuch nahin khabar hai baba,

Jab tak hath main hath tha, sab sahi tha,
Baaki bohat mushkil safar hai baba,

Jis aik mahine main sadiyan jam jati hain,
Woh sitamgar december hai baba,

Yeh duniya wale sehraa jante hain jisse,
Yuun to mitti ka samandar hai baba,

Woh khawb jise sab ankhon main dhoond rahe hain,
Woh khawb ab khawb ke andar hai baba,

Jo banayi theen maine samandar paar karne ko,
Woh kaghaz ki kashti kidhar hai baba..

Ahmed Ahyan Moosa

The post Bohat mushkil safar hai baba.. appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com https://ift.tt/2pBnb7z

Friday, 23 March 2018

Rehte Hain Gharq Un K Tasawur Main Shab

,
Rehte Hain Gharq Un K Tasawur Main Shab-O-Roz
Ek Din Humari Jaan Mohabbat Main Jaye Gi...

Rehte Hain Gharq


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2pBkTnX

Woh chaand hai to akss bhi paani main aye ga..

,

Woh chaand hai to akss bhi paani main aye ga,
Qirdaar khud ubhar ke kahani main aye ga..

The post Woh chaand hai to akss bhi paani main aye ga.. appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com http://ift.tt/2FXhT0e

Koi To Aisa Ho Jis Ko Kahun Tu Mera Ban

,
Koi To Aisa Ho Jis Ko Kahun Tu Mera Ban
Koi To Aye K Dil Se Teri Kami Nikle...

Koi To Aisa


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2pz4O3b

Thursday, 22 March 2018

Kahan kis ki himayat main mara jaaon ga..

,

Kahan kis ki himayat main mara jaaon ga,
Main kam-shanaas muravvat main mara jaon ga,

Main mara jaon ga pehle kisi fasaane main,
Phir us ke baad haqeeqat main mara jaon ga,

Mujhe bataya hua hai meri chatti-hiss ne,
Main apne ehd-e-khilafat main mara jaon ga,

Mera yeh khoon mere dushmanon ke sar hoga,
Main doston ki hirasat main mara jaon ga,

Yahan kamaan uthana meri zaroorat hai,
Wagarna main bhi sharafat main mara jaon ga,

Main chup raha to mujhe maar de ga mera zameer,
Gawahi di to adaalat main mara jaon ga,

Faragh mere liye maut ki alamat hai,
Main apni pehli faraghat main mara jaon ga,

Nahin maroon ga kisi jung main yeh soch liya,
Main ab ki baar mohabbat main mara jaon ga..

The post Kahan kis ki himayat main mara jaaon ga.. appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com http://ift.tt/2u8g9fi

Ab To Yoon Hai K Tere Hijar Main Rony K

,
Ab To Yoon Hai K Tere Hijar Main Rony K Liye
Aankh Me Khoon To Kya Khoon Sa Pani Bhi Nahi...

Ab To Yoon


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2FWhxHa

Kon Se Dukh Ki Karen Bat K Dil Ka Darya

,
Kon Se Dukh Ki Karen Bat K Dil Ka Darya
Itni Tughyani Ki Zad Par Hai K Kuch Yad Nahi...

Kon Se Dukh


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2pw0CRz

Wednesday, 21 March 2018

Chal Chor De Ye Jazbaat Saqi

,
Chal Chor De Ye Jazbaat Saqi
Ab Badal Gaye Halaat Saqi

Tu Jane Kya Kuch Sochta Tha
Ab Samjha Apni Okat Saqi

Ye Ishq Awaara Panchi Hai
Nahi Is Ki Koi Zaat Saqi

Jis Par Tha Mujhe Aitbaar Bohat
Wo Chor Gaya Mera Hath Saqi

Na Jane Kab Tak Tarpaye Ga
Tu Har Pal, Har Din Raat Saqi

Dil Khoon K Aansoo Rota Hai
Nahi Karta Jab Tu Baat Saqi...

Submitted By: Umer Hayat Saqi


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2GR3bW0

Dekh Leta Hai Faqat Aik Nazar Jo Bhi Tujhe

,
Dekh Leta Hai Faqat Aik Nazar Jo Bhi Tujhe
Beth Jata Hai Wo Lag K Teri Dewaar K Sath...

Submitted By: Rashid Qayoum Ansar

Dekh Leta Hai


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2FYpjMR

Tuesday, 20 March 2018

Afatain Mere Ta'aqub Me Hi Kiun Rehti Hain

,
Afatain Mere Ta'aqub Me Hi Kiun Rehti Hain
Me Kisi Ka Bhi Bura Chahne Wala To Nahi...

Submitted By: Rashid Qayoum Ansar

Afatain Mere Ta'aqub


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2GJzztt

Monday, 19 March 2018

Milne Ata Hai Roz Gham Mujh Se

,
Milne Ata Hai Roz Gham Mujh Se
Us Ne Dekha Hua Hai Ghar Mera...

Submitted By: Rashid Qayoum Ansar

Milne Ata Hai


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2GHQDjD

Dekh Kin Marhalon Se Guzri Hai

,
Dekh Kin Marhalon Se Guzri Hai
Zindagi Dagh Dagh Hone Tak...

Submitted By: Rashid Qayoum Ansar

Dekh Kin Marhalon


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2G2cjsP

Friday, 16 March 2018

Ye Alag Bat K Cheekhen Nahi Ati Bahar

,
Ye Alag Bat K Cheekhen Nahi Ati Bahar
Admi Ab Bhi Chuny Jate Hain Dewaron Main...

Ye Alag Bat


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2HEP5pT

Alvida Keh Chuky Hain Tumhe

,
Alvida Keh Chuky Hain Tumhe
Jao Ankhen To Jhoot Kehti Hain...

Alvida Keh Chuky


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2Gxim6o

Thursday, 15 March 2018

Tumhare Bad Kya Rakhna Anaa Se Wasta Koi

,
Tumhare Bad Kya Rakhna Anaa Se Wasta Koi
Tum Apne Sath Mera Umer Bhar Ka Maan Le Jana...

Tumhare Bad Kya


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2FWbEJq

Khaak Ko Chot Agar Khaak Se Lag Sakti Hai

,
Khaak Ko Chot Agar Khaak Se Lag Sakti Hai
Mun Pe Darya K Bhi Ansu Koi Mara Jaye...

Khaak Ko Chot


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2Guvnh9

Wednesday, 14 March 2018

Ankhon Me Naqsh Ho Gain Lamhon Ki Talkhiyan

,
Ankhon Me Naqsh Ho Gain Lamhon Ki Talkhiyan
Koi Bhi Warq Soch Ka Saada Nahi Raha...

Ankhon Me Naqsh


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2FHWO5Z

Chehry Pe Hai Tabassum Dil Ki Kise Khabar

,
Chehry Pe Hai Tabassum Dil Ki Kise Khabar
Andar Hai Toot Phoot Ka Mela Laga Hua...

Submitted By: Zia Naqvi


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2DpWbfo

Monday, 12 March 2018

Teri har baat mohabbat main gawara kar ke..

,

Teri har baat mohabbat main gawara kar ke,
Dil ke bazar main bethe hain khasara kar ke,

Aate jaate hain kayi rang mere chehre par,
Log lete hain maza zikr tumhara kar ke,

Ek chingari nazar ayi thi basti main usse,
Woh alag hatt geya andhi ko ishara kar ke,

Asmaanon ki taraf phenk diya hai main ne,
Chand matti ke charaghon ko sitara kar ke,

Main woh daryaa hoon ke har boond bhanwar hai jis ki,
Tum ne acha hi kiya mujh se kinara kar ke,

Muntazir hoon ke sitaron ki zara ankh lage,
Chaand ko chhat pe bula loon ga ishara kar ke..

The post Teri har baat mohabbat main gawara kar ke.. appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com http://ift.tt/2tH7Pmt

Sunday, 11 March 2018

Ye To Adha Bhi Nahi Jis Pe Tarap Uthe Ho

,
Ye To Adha Bhi Nahi Jis Pe Tarap Uthe Ho
Tum Ne Dekha Hi Nahi Hijar Mukammal Jana...

Ye To Adha


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2HoldxO

Reza Reza Hona Banta Hai Mera

,
Reza Reza Hona Banta Hai Mera
Utra Hai Mere Dil Pe Tera Ishq Mukammal...

Reza Reza Hona


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2tAJm20

Saturday, 10 March 2018

Aye But-Tarash Ishq Ko Hairat Me Dal De

,
Aye But-Tarash Ishq Ko Hairat Me Dal De
Pathar Ki Aankh Se Ansu Nikal De...

Aye But-Tarash


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2FvzxUz

Wednesday, 7 March 2018

Dafan Hui Hain Is Dil Me Aisi Aisi Kahaniyan

,
Dafan Hui Hain Is Dil Me Aisi Aisi Kahaniyan
Bayan Jo Aik Qissa Karun Log Gham Se Mar Jaen...

Dafan Hui Hain


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2oUfuZV

Tuesday, 6 March 2018

Silwatain Aur Tarha Ki Hain Tere Chehray Par

,
Silwatain Aur Tarha Ki Hain Tere Chehray Par
Dukh Yaqeenan Tere Duniya Se Niralay Hain...

Silwatain Aur Tarha


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2FiAJPi

Monday, 5 March 2018

Sar Jhukaye Hue Khamosh Hun Faqeer Ki Tarha

,
Sar Jhukaye Hue Khamosh Hun Faqeer Ki Tarha
Zindagi Baich Rahi Hai Sar-E-Bazaar Mujhe...

Sar Jhukaye Hue


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2FUgOTM

Aakhiri Baar Aah Kar Li Hai – Ghazal by Jaun Eliya

,

Ghazal by Jaun Eliya Aakhiri baar aah kar li hai, maine khud se nibaah kar li hai. Apne sar ek bala toh leni thi, maine woh zulf apne sar li hai. Din bhala kis tarah guzaaroge, wasl ki shab bhi ab guzar li hai. Jaan-nisaron pe vaar kya karna, maine bas haath mein sipar li hai. Jo …

The post Aakhiri Baar Aah Kar Li Hai – Ghazal by Jaun Eliya appeared first on Poetry One- All in One Best Poetry in Urdu, Hindi, English World.



from Poetry One- All in One Best Poetry in Urdu, Hindi, English World http://ift.tt/2I36Y2A

Kitni Bhi Ronaq Saja Lo Chehray Par

,
Kitni Bhi Ronaq Saja Lo Chehray Par
Hijr Aankhon Ko Chorta Hi Nahi...

Kitni Bhi Ronaq


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2H3rDSG

Saturday, 3 March 2018

Aaj lab-e guhar-fishan aap ne waa nahin kiya..

,

Ghazal by Jaun Eliya Aaj lab-e guhar-fishan aap ne waa nahin kiya, tazkira-e khajista-e ab-o hawa nahin kiya. Kaise kahen ki tujh ko bhi hum se hai wasta koi, tune toh hum se aaj tak koi gila nahin kiya. Jaane teri nahin ke saath kitne hi jabr the ki the, maine tere lihaaz mein tera …

The post Aaj lab-e guhar-fishan aap ne waa nahin kiya.. appeared first on Poetry One- All in One Best Poetry in Urdu, Hindi, English World.



from Poetry One- All in One Best Poetry in Urdu, Hindi, English World http://ift.tt/2FRa1u6

Friday, 2 March 2018

Aadmi Waqt Par Gaya Hoga – Ghazal by Jaun Eliya

,

Ghazal by Jaun Eliya   Aadmi waqt par gaya hoga, waqt pahle guzar gaya hoga. Woh humari taraf na dekh ke bhi. koi ehsaan dhar gaya hoga. Khud se maayus ho ke baitha hoon, aaj har shakhs mar gaya hoga. Shaam tere dayar mein aakhir, koi toh apne ghar gaya hoga. Marham-e hijr tha ajab …

The post Aadmi Waqt Par Gaya Hoga – Ghazal by Jaun Eliya appeared first on Poetry One- All in One Best Poetry in Urdu, Hindi, English World.



from Poetry One- All in One Best Poetry in Urdu, Hindi, English World http://ift.tt/2tg1T3J
 

usa blog Copyright © 2011 | Template design by O Pregador | Powered by Blogger Templates