Wednesday, 28 February 2018

Husn ke samajhne ko umar chahiye janan..

,

Husn ke samajhne ko umar chahiye janan,
Do ghaRri ki chahat main larkiyan nahin khultin..

The post Husn ke samajhne ko umar chahiye janan.. appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com http://ift.tt/2FbEXac

Hum Bhi Kya Log Hain Nafrat K Shajar Bo Bo

,
Hum Bhi Kya Log Hain Nafrat K Shajar Bo Bo Kar
Aasmano Se Mohabbat Ki Jhari Mangte Hain...

Hum Bhi Kya


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2oCTMsi

Tuesday, 27 February 2018

Ab Meri Raah Main Haayal Nahi Hoti Yaadein

,
Ab Meri Raah Main Haayal Nahi Hoti Yaadein
Ab Tere Sheher Se Guzrun To Guzar Jati Hun...

Ab Meri Raah


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2t1OQT6

Tumhare Samny Tum Se Nazar Chura Kar

,
Tumhare Samny Tum Se Nazar Chura Kar Hum
Zara Sa Door Se Palty To Gumaan Kesa
Tumhe Yaqeen To Thehra Ka Ye Mohabbat Hai
Mere Khayal Main Mushkil Hai Imtahan Aisa...

Tumhare Samny Tum


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2BT65c3

Monday, 26 February 2018

Apne Honton Se Choo Loon Ankhen Teri

,
Apne Honton Se Choo Loon Ankhen Teri
Bechain Kar Dun Main Sub Raten Teri
Lahoo Ban Kar Tere Jism Main Sama Jaun
Ban Jaun Tera Dil Aur Mehsus Karun Sansen Teri...

Submitted By: Asad Junaid Sagar


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2oylmH5

Sunday, 25 February 2018

Bohat Ajeeb Hain Ye Bandishain Mohabbat Ki

,
Bohat Ajeeb Hain Ye Bandishain Mohabbat Ki
Na Us Ne Qaid Me Rakha Na Hum Faraar Hue...

Bohat Ajeeb Hain


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2HICoee

Friday, 23 February 2018

Kuch To Hai Bat Jo Ati Hai Qaza Ruk Ruk K

,
Kuch To Hai Bat Jo Ati Hai Qaza Ruk Ruk K
Zindagi Qarz Hai Jo Qiston Me Adaa Hoti Hai...

Kuch To Hai


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2onuv5W

Thursday, 22 February 2018

Kaghaz Me Wo Pehle Si Khushboo Nahi Ai

,
Kaghaz Me Wo Pehle Si Khushboo Nahi Ai
Ye Khat Mujhe Tere Hath Ka Likha Nahi Lagta...

@Waqasaliwaqy


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2EZPOEf

Jab Bhi Kisi Se Milo To Zara Fasle Se Milna

,
Jab Bhi Kisi Se Milo To Zara Fasle Se Milna
Bohat Tarpate Hain Seeny Se Lagane Wale...

Submitted By: Salman Ahmed


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2EIJo99

Wednesday, 21 February 2018

Uska Aik Bar Dekh Kar Muskurana

,
Uska Aik Bar Dekh Kar Muskurana
Meri Zindagi Barbad Kar Gaya...

Submitted By: Waleed

Uska Aik Bar


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2GvMZrO

Tuesday, 20 February 2018

Faqeeran Ishq Hun Ek Dar Se Lagi Bethi Hun

,
Faqeeran Ishq Hun Ek Dar Se Lagi Bethi Hun
Bhikaaran Hoti To Dar Dar Pe Pari Milti Main...

Faqeeran Ishq Hun


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2GtXWKa

Monday, 19 February 2018

Pehle To Dikhata Raha Wo Khawab Musalsal

,
Pehle To Dikhata Raha Wo Khawab Musalsal
Ab Wo Kehta Hai Khawabon Ka Bharosa Na Kia Kar...

Pehle To Dikhata


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2BCgR6o

Sunday, 18 February 2018

Hayaat Deti Hai Sansain Bus Ek Maqaam Talak

,
Hayaat Deti Hai Sansain Bus Ek Maqaam Talak
Phir Us K Bad To Bus Sans Sans Marty Hain...

@Waqasaliwaqy


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2C6bH3E

Friday, 16 February 2018

Zabt K Toot Gaye Aaj To Bandhan Sary

,
Zabt K Toot Gaye Aaj To Bandhan Sary
Aaj Tarpa Hai Wo Dil Jo Kabhi Dharka Bhi Na Tha...

Submitted By: Rana Muzamil


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2GkQlOd

Ab Jalta Hai Rat Bhar Mujh Ko

,
Ab Jalta Hai Rat Bhar Mujh Ko
Acha Lagta Tha Chand Bachpan Me...

Submitted By: Rana Muzamil


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2EN3oKW

Thursday, 15 February 2018

Mohabbat Karne Wale Bohat Bary Nadan Hote Hain

,
Mohabbat Karne Wale Bohat Bary Nadan Hote Hain
Hasil Kuch Nahi Hota Magar Badnaam Hote Hain...

Submitted By: Sohail Khan


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2ExkIEv

Bhala Kahan Utha Sakti Hain Bojh Aankhen

,
Bhala Kahan Utha Sakti Hain Bojh Aankhen
Bohat Wazan Rakhte Hain Zabt K Ansoo...

Submitted By: Rana Muzamil

Bhala Kahan Utha


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2srok5e

Wednesday, 14 February 2018

Maloom thi mujhe teri majbooriyan magar..

,

Maloom thi mujhe teri majbooriyan magar,
Tere bagher neend na ayi tamaam raat..

The post Maloom thi mujhe teri majbooriyan magar.. appeared first on Ranjish.com.



from Ranjish.com http://ift.tt/2EryF2C

Suny Kon Qissa Dard-E-Dil

,
Suny Kon Qissa Dard-E-Dil
Mera Gham-Gusaar Chala Gaya...

Suny Kon Qissa


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2Gd6DbM

Kuch Dosti K Daagh The Kuch Dushmani K

,
Kuch Dosti K Daagh The Kuch Dushmani K Zakhm
Ab Tujh Se Kya Kahun Mujhe Kis Kis Se Kya Mila...

Kuch Dosti K


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2F2HyB4

Tuesday, 13 February 2018

Jazby Tamam Ho Gaye Lamhon Ki Dhool Me

,
Jazby Tamam Ho Gaye Lamhon Ki Dhool Me
Ab Dil Me Dharkano K Siwa Kuch Nahi Raha...

Jazby Tamam Ho


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2EoMMKr

Saturday, 10 February 2018

Ye Jo Zindagi Ki Hain Aziyyaten

,
Ye Jo Zindagi Ki Hain Aziyyaten
Mujhe Raas Hain Ye Is Qadar
Na Mile Kabhi Jo Ranj-O-Gham
Mujhe Har Khushi Azaab Lage...

Ye Jo Zindagi


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2H6aZCL

Friday, 9 February 2018

Us Waqt Tere Dil Main Bohat Dard Uthe Ga

,
Us Waqt Tere Dil Main Bohat Dard Uthe Ga
Jab Mujh Se Bichar Kar Mere Humnaam Milenge...

Us Waqt Tere


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2BhPT3M

Kitna Ghafil Hai Mujhe Acha Samjhne Wala

,
Kitna Ghafil Hai Mujhe Acha Samjhne Wala
Kya Basaye Ga Mujhe Khud Hi Ujarne Wala

Kya Tamasha Hai K Me Us Pe Bigar Betha Hun
Wo Jo Mash-Hoor Hai Logon Me Bigarne Wala

Zinda Rehne Ka Sabab Kya Hai Ye Dil Se Puch
Juzz Tere Or Nahi Koi Dharakne Wala

Naao Doobi Meri Karte Hue Deedar Tera
Or Tera Naam Hi Leta Tha Ubharne Wala

Teri Waja Se Hi Larta Hun Zamany Bhar Se
Me Hun Mash-Hoor Zamany Me Jhagarne Wala

Kesi Ankhein Hain Wo Zalim Ki Samandar Jesi
Kitna Roshan Tera Chehra Hai Chamakne Wala

Tumhe Maloom Hai Kon Likhe Ga Ye Ghazal
Tumhare Ishq Me Bar-Waqt Tarapne Wala...

Blogger: Waqas Ali


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2BNLBCy

Tuesday, 6 February 2018

Koi Bhi Lamha Kabhi Laut Kar Nahi Aya

,
Koi Bhi Lamha Kabhi Laut Kar Nahi Aya
Wo Shakhs Aisa Gaya Phir Laut Kar Nahi Aya
Humain Yaqeen Hai Nahi Hai Wo Wada Khilaf
Ye Umer Kese Katy Gi Agar Wo Nahi Aya...

Koi Bhi Lamha


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2FQ9JCf

Tum Ne Dekha Mehez Khamosh Mujhe Bahar

,
Tum Ne Dekha Mehez Khamosh Mujhe Bahar Se
Mere Andar Ki Sub Cheekhen Tera Dil Phar Sakti Hain...

Tum Ne Dekha


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2E3FBa9

Monday, 5 February 2018

Ek Me Hun K Apne Zakham Chupaye Rakhta

,
Ek Me Hun K Apne Zakham Chupaye Rakhta Hun
Ek Tum Ho K Muyassar Nahi Aty Hum Ko...

Submitted By: Abdullah Khan


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2BbPtff

Chalo Kashmir Chalte Hain

,
Chalo Kashmir Chalte Hain
Jahan Par Barf Parti Hai
Jahan Pathar K Niche
Phool Khilte Hain
Jahan Chashmy Ubalty Hain
Jahan Barish Barasti Hai
Barasti Barishon Me Bhi
Jahan Kohsar Jalte Hain
Chalo Kashmir Chalte Hain...

Chalo Kashmir Chalte


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2s6Hnlj

Sunday, 4 February 2018

Wafa Ki Jung Me Usko Mana Lete To Acha

,
Wafa Ki Jung Me Usko Mana Lete To Acha Tha
Anaa Ki Jung Me Aksar Judai Jeet Jati Hai...

Wafa Ki Jung


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2GN61eb

Saturday, 3 February 2018

Kaghaz Utty Leek Leek K Puthiyan Sidhiyan

,
Kaghaz Utty Leek Leek K Puthiyan Sidhiyan Leekan
Hor Dhiyaane Paiyan Hoiyan Main Andar Diyan Cheekan...

Kaghaz Utty Leek


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2s6HfSG

Friday, 2 February 2018

Kya Mila Dilbari Kar K

,
Kya Mila Dilbari Kar K
Ek Sanam Se Ashqi Kar K

Kiun Muqaddar Ko Kostay Ho Tum
Tabah Khud Apni Zindagi Kar K

Kuch Ajar Nahi Mile Ga Tumhe
Yoon Dikhawy Ki Bandagi Kar K

Log Samajhte Nahi Hain Gham Mera
Dekh Lia Mene Shayari Kar K

Laut Jaunga Main Andhere Main
Us Ki Duniya Main Roshni Kar K

Gham Main Bhi Muskurata Hun 'Zia'
Us K Naam Har Khushi Kar K...

Submitted By: Zia Anwar Janjua


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2FGlBqu

Tum To Us Dard Se Guzray Ho Na

,
Tum To Us Dard Se Guzray Ho Na
Wo Rutt Jis Me Jal Jati Hain Ankhen...?

Tum To Us


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2FE0Uvx

Hum Samaity Hain Dard Duniya Ka

,
Hum Samaity Hain Dard Duniya Ka
Tum Se Hum Ek Nahi Sambhaly Gaye...?

Hum Samaity Hain


from Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam http://ift.tt/2FCjGmJ
 

usa blog Copyright © 2011 | Template design by O Pregador | Powered by Blogger Templates